ye hamari mai-kahsi ka muKHtasar afsana tha
ye hamārī mai-kahsī kā muḳhtasar afsāna thā
aañkh saaqī se laḌī thī haath meñ paimāna thā
goshe goshe ko mire dil ne munavvar kar diyā
dāġh-e-dil kahte the jis ko ik charāġh-ḳhāna thā
umr bhar us kā tasavvur ḳhāna-e-dil meñ rahā
jis ko ka.aba ham ne samjhā thā vo ik but-ḳhāna thā
paas daulat thī to begāne yagāne jam.a the
jab ga.ī daulat yagāna thā na vo begāna thā
tū agar detī sahārā duur hotīñ kulfateñ
kaam itnā sā terā ai himmat-e-mardāna thā
dil ke jaane kā tumheñ kyuuñ 'bāġh' hai rañj-o-malāl
jaane do kambaḳht ko majnūñ sā thā dīvāna thā
ye hamari mai-kahsi ka muKHtasar afsana tha
aankh saqi se laDi thi hath mein paimana tha
goshe goshe ko mere dil ne munawwar kar diya
dagh-e-dil kahte the jis ko ek charagh-KHana tha
umr bhar us ka tasawwur KHana-e-dil mein raha
jis ko kaba hum ne samjha tha wo ek but-KHana tha
pas daulat thi to begane yagane jama the
jab gai daulat yagana tha na wo begana tha
tu agar deti sahaara dur hotin kulfaten
kaam itna sa tera ai himmat-e-mardana tha
dil ke jaane ka tumhein kyun 'bagh' hai ranj-o-malal
jaane do kambaKHt ko majnun sa tha diwana tha
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 79)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.