dil se taswir-e-KHyali jaegi
dil se tasvīr-e-ḳhyālī jā.egī
aur us meñ jaan Daalī jā.egī
terī hasrat mere armānoñ ke saath
dil ke gahvāre meñ paalī jā.egī
hasratoñ ko shauq se pāmāl kar
dil kī ye duniyā basā.ī jā.egī
chun rahā huuñ dāġh-hā-e-dil ko maiñ
un ke ghar phūloñ kī Daalī jā.egī
laakh dekho ā.īna meñ un kā misl
kyā vo shān-e-be-missalī jā.egī
ḳhuuñ bahā.egī jo chashm-e-'andalīb
tab guloñ meñ khiñch ke laa.ī jā.egī
ḳhud nazākat se sambhal sakte nahīñ
teġh kyā tum se sambhālī jā.egī
dil se taswir-e-KHyali jaegi
aur us mein jaan Dali jaegi
teri hasrat mere armanon ke sath
dil ke gahware mein pali jaegi
hasraton ko shauq se pamal kar
dil ki ye duniya basai jaegi
chun raha hun dagh-ha-e-dil ko main
un ke ghar phulon ki Dali jaegi
lakh dekho aaina mein un ka misl
kya wo shan-e-be-missali jaegi
KHun bahaegi jo chashm-e-'andalib
tab gulon mein khiñch ke lai jaegi
KHud nazakat se sambhal sakte nahin
tegh kya tum se sambhaali jaegi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 79)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.