dam-e-wada na wo aae na koi gham-gusar aaya
dam-e-va.ada na vo aa.e na koī ġham-gusār aayā
nigāh-e-muntazir meñ iztirāb-e-intizār aayā
tire va.ada kī muddat ko jo ghaḌiyāñ gin ke kaaTā thā
unhīñ gintī kī ghaḌiyoñ ko liye raushan shumār aayā
tarīq-e-ishq meñ kyā pahle dil ko toḌ dete haiñ
jab aayā TuuT kar tujh par dil-e-be-iḳhtiyār aayā
yahī vo 'bāġh' hai jab nañg-e-gulshan jis ko kahte haiñ
nihāl-e-ārzū meñ jis kī bū aayā na baar aayā
dam-e-wada na wo aae na koi gham-gusar aaya
nigah-e-muntazir mein iztirab-e-intizar aaya
tere wada ki muddat ko jo ghaDiyan gin ke kaTa tha
unhin ginti ki ghaDiyon ko liye raushan shumar aaya
tariq-e-ishq mein kya pahle dil ko toD dete hain
jab aaya TuT kar tujh par dil-e-be-iKHtiyar aaya
yahi wo 'bagh' hai jab nang-e-gulshan jis ko kahte hain
nihaal-e-arzu mein jis ki bu aaya na bar aaya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 80)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.