main baitullah se masud tohfa le ke aaya hun
maiñ baitullāh se 'mas.ūd' tohfa le ke aayā huuñ
ġhilāf-e-ka.aba-e-aqdas kā TukḌā le ke aayā huuñ
ḳhudā kī raah kā yasrib se saudā le ke aayā huuñ
haqīqat meñ tarīqat kā ye tamġha le ke aayā huuñ
hai ab pesh-e-nigāh-e-shauq har-dam shān-e-rahmat kī
batā.ūñ kyā ki us sarkār se kyā le ke aayā huuñ
samātā hī nahīñ nazroñ meñ merī tuur kā manzar
kisī kā dil ke ā.īne meñ jalva le ke aayā huuñ
sharf hāsil huā darbār-e-ahmad meñ rasā.ī kā
maiñ bīmār-e-mohabbat thā mudāvā le ke aayā huuñ
shafā.at kā bharosa naqd-e-rahmat haath aayā hai
madīna aur makka se ḳhazāna le ke aayā huuñ
jo māñgā haq se vo paayā rasūl allāh ke dar se
kahūñ kyā hazrat-e-vā.iz maiñ kyā kyā le ke aayā huuñ
gayā thā sū-e-ka.aba sāz-e-āhañg junūñ le kar
madīna se ajab pur-kaif naġhma le ke aayā huuñ
nihāyat saḳht thī mas.ūd isyāñ kī girāñ-bārī
magar hazrat se baḳhshish kā sahārā le ke aayā huuñ
main baitullah se 'masud' tohfa le ke aaya hun
ghilaf-e-kaba-e-aqdas ka TukDa le ke aaya hun
KHuda ki rah ka yasrib se sauda le ke aaya hun
haqiqat mein tariqat ka ye tamgha le ke aaya hun
hai ab pesh-e-nigah-e-shauq har-dam shan-e-rahmat ki
bataun kya ki us sarkar se kya le ke aaya hun
samata hi nahin nazron mein meri tur ka manzar
kisi ka dil ke aaine mein jalwa le ke aaya hun
sharf hasil hua darbar-e-ahmad mein rasai ka
main bimar-e-mohabbat tha mudawa le ke aaya hun
shafaat ka bharosa naqd-e-rahmat hath aaya hai
madina aur makka se KHazana le ke aaya hun
jo manga haq se wo paya rasul allah ke dar se
kahun kya hazrat-e-waiz main kya kya le ke aaya hun
gaya tha su-e-kaba saz-e-ahang junun le kar
madina se ajab pur-kaif naghma le ke aaya hun
nihayat saKHt thi masud isyan ki giran-bari
magar hazrat se baKHshish ka sahaara le ke aaya hun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 285)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.