KHat mein tahrir saf tha matlab
ḳhat meñ tahrīr saaf thā matlab
vo na samjhā magar mirā matlab
kar ga.ī kaam guftugū apnī
chaar bātoñ meñ khul gayā matlab
ho gayā ro.ab-e-husn qufl-e-dahan
lab tak apne na aa sakā matlab
tasfiya haañ nahīñ pe Thahrā hai
kis qadar sahl hai mirā matlab
naam lete na be-vafā.ī kā
tum samajhte agar mirā matlab
sar pe ehsān-e-guftugū na huā
ḳhāmushī ne adā kiyā matlab
guftugū qat.a maut ne kar dī
lījiye ḳhatm ho gayā matlab
mad.h saaqī kī hazrat-e-vā.iz
maiñ samajhtā huuñ aap kā matlab
kuchh na niklā zabān se 'mas.ūd'
dil kā dil hī meñ rah gayā matlab
KHat mein tahrir saf tha matlab
wo na samjha magar mera matlab
kar gai kaam guftugu apni
chaar baaton mein khul gaya matlab
ho gaya roab-e-husn qufl-e-dahan
lab tak apne na aa saka matlab
tasfiya han nahin pe Thahra hai
kis qadar sahl hai mera matlab
nam lete na be-wafai ka
tum samajhte agar mera matlab
sar pe ehsan-e-guftugu na hua
KHamushi ne ada kiya matlab
guftugu qata maut ne kar di
lijiye KHatm ho gaya matlab
madh saqi ki hazrat-e-waiz
main samajhta hun aap ka matlab
kuchh na nikla zaban se 'masud'
dil ka dil hi mein rah gaya matlab
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 287)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.