Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qatl-e-ashiq ke liye tadbir pahle aur thi

Qabil Bandvi

qatl-e-ashiq ke liye tadbir pahle aur thi

Qabil Bandvi

MORE BYQabil Bandvi

    qatl-e-'āshiq ke liye tadbīr pahle aur thī

    ab adā hai nāzukī shamshīr pahle aur thī

    pahle ḳhat meñ ye na likkhā thā ki ham aane ko haiñ

    ab nayā mazmūn hai tahrīr pahle aur thī

    merī qismat ho ga.ī kyā aur ab milte nahīñ

    pahle kyuuñ milte the kyā taqdīr pahle aur thī

    'ahd-e-pīrī meñ kahāñ vo naujavānī meñ jo thī

    āftāb-e-husn meñ tanvīr pahle aur thī

    pahle ham un ke the ab vo haiñ hamāre shefta

    aur sūrat hai ab tasvīr pahle aur thī

    'qābil' ab to dar-nashīñ haiñ the kabhī pahlū-nashīñ

    aur ġhurbat hai ab tauqīr pahle aur thī

    qatl-e-'ashiq ke liye tadbir pahle aur thi

    ab ada hai nazuki shamshir pahle aur thi

    pahle KHat mein ye na likkha tha ki hum aane ko hain

    ab naya mazmun hai tahrir pahle aur thi

    meri qismat ho gai kya aur ab milte nahin

    pahle kyun milte the kya taqdir pahle aur thi

    'ahd-e-piri mein kahan wo naujawani mein jo thi

    aaftab-e-husn mein tanwir pahle aur thi

    pahle hum un ke the ab wo hain hamare shefta

    aur hi surat hai ab taswir pahle aur thi

    'qabil' ab to dar-nashin hain the kabhi pahlu-nashin

    aur hi ghurbat hai ab tauqir pahle aur thi

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 240)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now