sanwariya nahin aae ’umariya bit gai
sāñvariyā nahīñ aa.e ’umariyā biit ga.ī
raah meñ nain bichhā.e ’umariyā biit ga.ī
bin dekhe bin jaane jin se pyaar kiyā
man meñ unheñ samā.e ’umariyā biit ga.ī
pathrā.e haiñ rote-rote nain sakhī
yaad meñ un kī haaye ’umariyā biit ga.ī
man-basiyā vo rasiyā nirmohī niklā
priit kā rog lagā.e ’umariyā biit ga.ī
kaag uḌā.ūñ nisdin baiThī āñgan meñ
daras kī aas lagā.e ’umariyā biit ga.ī
āshāoñ ke saare bandhan TuuT ga.e
nir-āshā ke saa.e ’umariyā biit ga.ī
piyā milan kī rain na aa.ī jīvan meñ
man kī sej bichhā.e ’umariyā biit ga.ī
nainan riit se shāyad vo an-jāne haiñ
jin se nain milā.e ’umariyā biit ga.ī
kab utregā man se dukh kā bojh 'tufail'
dukh kā bojh uThā.e ’umariyā biit ga.ī
sanwariya nahin aae ’umariya bit gai
rah mein nain bichhae ’umariya bit gai
bin dekhe bin jaane jin se pyar kiya
man mein unhen samae ’umariya bit gai
pathrae hain rote-rote nain sakhi
yaad mein un ki haye ’umariya bit gai
man-basiya wo rasiya nirmohi nikla
prit ka rog lagae ’umariya bit gai
kag uDaun nisdin baiThi aangan mein
daras ki aas lagae ’umariya bit gai
aashaon ke sare bandhan TuT gae
nir-asha ke sae ’umariya bit gai
piya milan ki rain na aai jiwan mein
man ki sej bichhae ’umariya bit gai
nainan rit se shayad wo an-jaane hain
jin se nain milae ’umariya bit gai
kab utrega man se dukh ka bojh 'tufail'
dukh ka bojh uThae ’umariya bit gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.