Sufinama

kaun albela ramta-jogi rup-nagar mein aaya hai

Tufail Hoshiarpuri

kaun albela ramta-jogi rup-nagar mein aaya hai

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    kaun albelā ramtā-jogī rūp-nagar meñ aayā hai

    darshan jal pyaas baḌhī hai jis ne darshan paayā hai

    ruup anuup hai us aalī matvāle matvāle nain

    chandā aisā mukhḌā us raam ne aap banāyā hai

    añg-añg se mastī barse nainoñ se ras būñdeñ

    kis bairan ne joban rut meñ us chain uḌāyā hai

    ghuñghaT ghuñghaT chandā chamke āñgan āñgan phuul khile

    rūp-nagar jin galiyoñ meñ us ne alakh jagāyā hai

    kunj kunj meñ us bāteñ panghaT panghaT us yaad

    rūp-nagar meñ us jogī ke ruup ne rañg jamāyā hai

    ik ik man meñ huuk uThā.e us bansī sañgīt

    kis sajnī sājan hai vo kis maatā jaayā hai

    koī na samjhe koī na jaane us ke dukhiyā man rog

    aisā lagtā hai maaTī meñ us ne la.al gañvāyā hai

    koī na pūchhe us jogī se jogī man baat batā

    kis ke kāran jog liyā hai kyuuñ jag ko Thukrāyā hai

    kaun albela ramta-jogi rup-nagar mein aaya hai

    darshan jal ki pyas baDhi hai jis ne darshan paya hai

    rup anup hai us ka aali matwale matwale nain

    chanda aisa mukhDa us ka ram ne aap banaya hai

    ang-ang se masti barse nainon se ras ki bunden

    kis bairan ne joban rut mein us ka chain uDaya hai

    ghunghaT ghunghaT chanda chamke aangan aangan phul khile

    rup-nagar ki jin galiyon mein us ne alakh jagaya hai

    kunj kunj mein us ki baaten panghaT panghaT us ki yaad

    rup-nagar mein us jogi ke rup ne rang jamaya hai

    ek ek man mein huk uThae us ki bansi ka sangit

    kis sajni ka sajan hai wo kis mata ka jaya hai

    koi na samjhe koi na jaane us ke dukhiya man ka rog

    aisa lagta hai maTi mein us ne lal ganwaya hai

    koi na puchhe us jogi se jogi man ki baat bata

    kis ke karan jog liya hai kyun jag ko Thukraya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now