tumhaare aastan se jis ko nisbat hoti jati hai
tumhāre āstāñ se jis ko nisbat hotī jaatī hai
use hāsil zamāne-bhar kī rif.at hotī jaatī hai
kuchh is andāz se un kī ināyat hotī jaatī hai
tamāshā-gāh-e-ālam merī sūrat hotī jaatī hai
tumhāre husn ke jalve nigāhoñ meñ samā.e haiñ
hamārī zindagī tasvīr-e-hairat hotī jaatī hai
tumhārī yaad ne vo raushnī baḳhshī hai ashkoñ ko
ki un se mere ġham-ḳhāne kī zīnat hotī jaatī hai
razā-e-dost kī phir manzileñ āsān hotī haiñ
nazar jab vāqif-e-rāz-e-mashiyyat hotī jaatī hai
vo jab sāġhar pilānā chāhte haiñ chashm-e-mai-gūñ se
to phir har ek par un kī ināyat hotī jaatī hai
mere zauq-e-tamannā kī haqīqat pūchhte kyā ho
unheñ bhī ab to kuchh mujh se mohabbat hotī jaatī hai
merī hastī hai ā.īna tere ruḳh kī tajallī kā
zamāne par ayaañ terī haqīqat hotī jaatī hai
usī kā naam shāyad ishq kī me.arāj hai 'sādiq'
mere ġham kī kahānī vaj.h-e-shohrat hotī jaatī hai
tumhaare aastan se jis ko nisbat hoti jati hai
use hasil zamane-bhar ki rifat hoti jati hai
kuchh is andaz se un ki inayat hoti jati hai
tamasha-gah-e-alam meri surat hoti jati hai
tumhaare husn ke jalwe nigahon mein samae hain
hamari zindagi taswir-e-hairat hoti jati hai
tumhaari yaad ne wo raushni baKHshi hai ashkon ko
ki un se mere gham-KHane ki zinat hoti jati hai
raza-e-dost ki phir manzilen aasan hoti hain
nazar jab waqif-e-raaz-e-mashiyyat hoti jati hai
wo jab saghar pilana chahte hain chashm-e-mai-gun se
to phir har ek par un ki inayat hoti jati hai
mere zauq-e-tamanna ki haqiqat puchhte kya ho
unhen bhi ab to kuchh mujh se mohabbat hoti jati hai
meri hasti hai aaina tere ruKH ki tajalli ka
zamane par ayan teri haqiqat hoti jati hai
usi ka nam shayad ishq ki mearaj hai 'sadiq'
mere gham ki kahani wajh-e-shohrat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.