ba-har-lamha tafsir-e-soz-e-mohabbat shariat nahin hai to phir aur kya hai
ba-har-lamha tafsir-e-soz-e-mohabbat shariat nahin hai to phir aur kya hai
Turfa Qureshi
MORE BYTurfa Qureshi
ba-har-lamha tafsīr-e-soz-e-mohabbat sharī.at nahīñ hai to phir aur kyā hai
tasavvur tire tāq-e-abrū kā shab bhar ibādat nahīñ hai to phir aur kyā hai
mohabbat kī takzīb duniyā meñ kaisī mohabbat to hai mehr-e-tasdīq-e-hastī
vo afsāna ham tum hai unvān jis kā haqīqat nahīñ hai to phir aur kyā hai
idhar ishq ko shauq-e-nazzāra-bāzī udhar husn-e-sar-garm āfat-tarāzī
sar-e-bazm yuuñ un kā be-parda aanā qiyāmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
adāoñ ko us kī kisī ne na samjhā sitamgar use kah ke muñh sab se pherā
magar phir bhī us ne kisī ko na chhoḌā ināyat nahīñ hai to phir aur kyā hai
ye duniyā ye har samt dil-kash nazzāre kahīñ lāla-o-gul kahīñ chāñd-tāre
yahāñ se vahāñ tak tajallī ke dhāre ye jannat nahīñ hai to phir aur kyā hai
banā kar hameñ apne jalvoñ kā maz.har kiyā saarī maḳhlūq se us ne bartar
ye e.azāz ye vaqār allāhu akbar mohabbat nahīñ hai to phir aur kyā hai
ye mazmūn ye jiddat sher-o-naġhma ye ilhām-e-sāmānī-e-fikr 'turfa'
taġhazzul kā me.ayār aur itnā ūñchā ye rahmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
ba-har-lamha tafsir-e-soz-e-mohabbat shariat nahin hai to phir aur kya hai
tasawwur tere taq-e-abru ka shab bhar ibaadat nahin hai to phir aur kya hai
mohabbat ki takzib duniya mein kaisi mohabbat to hai mehr-e-tasdiq-e-hasti
wo afsana hum tum hai unwan jis ka haqiqat nahin hai to phir aur kya hai
idhar ishq ko shauq-e-nazzara-bazi udhar husn-e-sar-garm aafat-taraazi
sar-e-bazm yun un ka be-parda aana qiyamat nahin hai to phir aur kya hai
adaon ko us ki kisi ne na samjha sitamgar use kah ke munh sab se phera
magar phir bhi us ne kisi ko na chhoDa inayat nahin hai to phir aur kya hai
ye duniya ye har samt dil-kash nazzare kahin lala-o-gul kahin chand-tare
yahan se wahan tak tajalli ke dhaare ye jannat nahin hai to phir aur kya hai
bana kar hamein apne jalwon ka mazhar kiya sari maKHluq se us ne bartar
ye eazaz ye waqar allahu akbar mohabbat nahin hai to phir aur kya hai
ye mazmun ye jiddat sher-o-naghma ye ilham-e-samani-e-fikr 'turfa'
taghazzul ka meayar aur itna uncha ye rahmat nahin hai to phir aur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.