wo shai ki log jise aaftab kahte hain
vo shai ki log jise āftāb kahte haiñ
ham us ko apnī nazar kā shabāb kahte haiñ
har ik adā ko tirī lā-javāb kahte haiñ
sitam ko bhī karam-e-be-hisāb kahte haiñ
har ik shai meñ hai ābād husn kī duniyā
har ik zarre ko ham āftāb kahte haiñ
tah-e-naqāb nahīñ vo tajallī-e-zebā
ham apne zof-e-basar ko naqāb kahte haiñ
urūs-e-dahr kī hai ik hasīn sī karvaT
jahāñ vaale jise inqalāb kahte haiñ
faroġh de ke use bahr-e-be-karāñ kar do
vo zindagī jise habāb kahte haiñ
ye terī chashm-e-ḳhumār-ālūd-o-hayā-ālūd
jo mujh se pūchho is ko sharāb kahte haiñ
shabāb-e-ishq kā mere vo ek partav hai
vo apne husn kā jis ko shabāb kahte haiñ
kuchh aur chāhiye mizrāb-e-zindagī ke liye
udaas udaas sā hai ye rabāb kahte haiñ
har ik savāl par ulTā savāl hotā hai
tire javāb ko ham lā-javāb kahte haiñ
talāsh kar le jo kasrat meñ husn-e-vahdat ko
usī nigāh ko ham kāmyāb kahte haiñ
sukūn-e-jism ho jis meñ sukūn-e-rūh na ho
ham us sukūñ ko ik iztirāb kahte haiñ
vahī hai raag jise dil kā saaz bhī gaa.e
rabāb-e-dil ko ham asl rabāb kahte haiñ
vo apne husn pe nāzāñ to apne ishq pe ham
ham apne-āp ko un kā javāb kahte haiñ
har ek juzv hai ā.īna vus.at-e-kul kā
har ek harf ko ham ek kitāb kahte haiñ
shuā-e-husn daraḳhshāñ nahīñ naqāb se kam
vo apne husn ko kyuuñ be-naqāb kahte haiñ
ye zindagī ki hai rahmat tirī rifāqat meñ
tire baġhair ham us ko azaab kahte haiñ
masarrateñ bhī haiñ ai 'barq' ġham kā ā.īna
sukūn ko bhī to ham iztirāb kahte haiñ
wo shai ki log jise aaftab kahte hain
hum us ko apni nazar ka shabab kahte hain
har ek ada ko teri la-jawab kahte hain
sitam ko bhi karam-e-be-hisab kahte hain
har ek shai mein hai aabaad husn ki duniya
har ek zarre ko hum aaftab kahte hain
tah-e-naqab nahin wo tajalli-e-zeba
hum apne zof-e-basar ko naqab kahte hain
urus-e-dahr ki hai ek hasin si karwaT
jahan wale jise inqalab kahte hain
farogh de ke use bahr-e-be-karan kar do
wo zindagi jise habab kahte hain
ye teri chashm-e-KHumar-alud-o-haya-alud
jo mujh se puchho is ko sharab kahte hain
shabab-e-ishq ka mere wo ek partaw hai
wo apne husn ka jis ko shabab kahte hain
kuchh aur chahiye mizrab-e-zindagi ke liye
udas udas sa hai ye rabab kahte hain
har ek sawal par ulTa sawal hota hai
tere jawab ko hum la-jawab kahte hain
talash kar le jo kasrat mein husn-e-wahdat ko
usi nigah ko hum kaamyab kahte hain
sukun-e-jism ho jis mein sukun-e-ruh na ho
hum us sukun ko ek iztirab kahte hain
wahi hai rag jise dil ka saz bhi gae
rabab-e-dil ko hum asl rabab kahte hain
wo apne husn pe nazan to apne ishq pe hum
hum apne-ap ko un ka jawab kahte hain
har ek juzw hai aaina wusat-e-kul ka
har ek harf ko hum ek kitab kahte hain
shua-e-husn daraKHshan nahin naqab se kam
wo apne husn ko kyun be-naqab kahte hain
ye zindagi ki hai rahmat teri rifaqat mein
tere baghair hum us ko azab kahte hain
masarraten bhi hain ai 'barq' gham ka aaina
sukun ko bhi to hum iztirab kahte hain
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 154)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.