yaro main agar ’ishq ka bimar na hota
yaro main agar ’ishq ka bimar na hota
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
yaaro maiñ agar ’ishq kā bīmār na hotā
hargiz vo mire dar pai-e-āzār na hotā
āshiq se agar vasl kā iqrār na hotā
to hashr talak vāda-e-dīdār na hotā
gar zulf kā ruḳh jānib-e-ruḳhsār na hotā
kāfir se musalmāñ ko sarokār na hotā
hotī na jo aariz se siyah zulf ko sāzish
habshī koī gore kā taraf-dār na hotā
laT zulf kī hotī na agar sahar kā laTkā
dil us ke laTakne pe giraftār na hotā
rakhte na barahman se agar shaiḳh jī rishta
tasbīh-e-sulaimānī meñ zunnār na hotā
hotā na muqayyad meñ agar jalva-e-mutlaq
har rañg meñ be-rañg numūdār na hotā
jaatā maiñ ḳhudā jaane kidhar raah bhaTak ke
raste pe agar ḳhāna-e-ḳhummār na hotā
vallāh 'turāb' us but-e-rahzan se na bachtā
allāh agar us kā madad-gār na hotā
yaro main agar ’ishq ka bimar na hota
hargiz wo mere dar pai-e-azar na hota
aashiq se agar wasl ka iqrar na hota
to hashr talak wada-e-didar na hota
gar zulf ka ruKH jaanib-e-ruKHsar na hota
kafir se musalman ko sarokar na hota
hoti na jo aariz se siyah zulf ko sazish
habshi koi gore ka taraf-dar na hota
laT zulf ki hoti na agar sahar ka laTka
dil us ke laTakne pe giraftar na hota
rakhte na barahman se agar shaiKH ji rishta
tasbih-e-sulaimani mein zunnar na hota
hota na muqayyad mein agar jalwa-e-mutlaq
har rang mein be-rang numudar na hota
jata main KHuda jaane kidhar rah bhaTak ke
raste pe agar KHana-e-KHummar na hota
wallah 'turab' us but-e-rahzan se na bachta
allah agar us ka madad-gar na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.