aap ki mujh pe agar chashm-e-inayat ho jae
aap kī mujh pe agar chashm-e-'ināyat ho jaa.e
ham-nashīñ rashk kareñ ġhairoñ ko hairat ho jaa.e
aap ko bhī jo kisī ġhair se ulfat ho jaaye
jaisī hālat hai mirī aap kī hālat ho jaaye
gar sharf mere siyah-ḳhāne ko baḳhsheñ sarkār
merī tauqīr baḌhe ghar kī bhī zīnat ho jaaye
bazm-e-ḳhūbāñ meñ hai us fitna adā kī aamad
kyā 'ajab hai ki numūdār qayāmat ho jaaye
fā.ida kuchh bhī nahīñ aap ke bahlāne se
ġhair-mumkin hai ki taskīn tabī'at ho jaaye
laakh parde pe ye hai husn kā un ke 'ālam
aur parde se nikal aa.eñ to aafat ho jaaye
us meñ sāne.a kā 'ajab raaz hai poshīda 'zahīr'
zindagī rañg na badle to qayāmat ho jaaye
aap ki mujh pe agar chashm-e-'inayat ho jae
ham-nashin rashk karen ghairon ko hairat ho jae
aap ko bhi jo kisi ghair se ulfat ho jaye
jaisi haalat hai meri aap ki haalat ho jaye
gar sharf mere siyah-KHane ko baKHshen sarkar
meri tauqir baDhe ghar ki bhi zinat ho jaye
bazm-e-KHuban mein hai us fitna ada ki aamad
kya 'ajab hai ki numudar qayamat ho jaye
faida kuchh bhi nahin aap ke bahlane se
ghair-mumkin hai ki taskin tabi'at ho jaye
lakh parde pe ye hai husn ka un ke 'alam
aur parde se nikal aaen to aafat ho jaye
us mein sanea ka 'ajab raaz hai poshida 'zahir'
zindagi rang na badle to qayamat ho jaye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 219)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.