Font by Mehr Nastaliq Web

sarmad holii khel rahaa hai sarmad hii ke sa.ng

Naeem Sarmad

MORE BYNaeem Sarmad

    sarmad holii khel rahaa hai sarmad hii ke sa.ng

    sarmad hii ke gaal gulaabii sarmad hii kaa ra.ng

    apnii aamad par apne ko KHuub sajaayaa rii

    aap hii apnaa ruup nihaaraa aap hii ho ga.ii da.ng

    apne 'ishq me.n maare-maare phir rahe the yaa'nii

    apne jaisaa ruup banaayaa apne jaisaa Dha.ng

    dekh azaan-e-fajr se la.Dtii sha.nkh kii ye aavaaz

    jaise do sakhiyaa.n kartii ho.n ik duuje ko ta.ng

    maulaa jiyuu.nde vasde rahan aih suchche piir-faqiir

    maulaa ohdii lapeTii hove jinhuu.n 'ishq daa cha.Dhaayaa ra.ng

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now