aaj ek ajnabi se nigahen milin sirf ek lamha-e-muKHtasar ke liye
aaj ek ajnabi se nigahen milin sirf ek lamha-e-muKHtasar ke liye
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
aaj ik ajnabī se nigāheñ milīñ sirf ik lamha-e-muḳhtasar ke liye
dil kuchh is tarah se mutma.in ho gayā jaise kuchh pā liyā 'umr-bhar ke liye
har-qadam kashmakash har-nafas uljhaneñ zindagī vaqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hī darmāñ kā ġham thā hameñ ab davā chāhiye chāra-gar ke liye
maiñ ne baḳhshī hai tārīkiyoñ ko ziyā aur ḳhud ik tajallī kā muhtāj huuñ
raushnī dene vaale ko bhī kam se kam ik diyā chāhiye apne ghar ke liye
ai 'shakīl' un kī mahfil meñ bhī kyā milā aur kuchh baḌh ga.iiñ dil kī be-tābiyāñ
sab kī jānib rahī vo nigāh-e-karam ham taraste rahe ik nazar ke liye
aaj ek ajnabi se nigahen milin sirf ek lamha-e-muKHtasar ke liye
dil kuchh is tarah se mutmain ho gaya jaise kuchh pa liya 'umr-bhar ke liye
har-qadam kashmakash har-nafas uljhanen zindagi waqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hi darman ka gham tha hamein ab dawa chahiye chaara-gar ke liye
main ne baKHshi hai tarikiyon ko ziya aur KHud ek tajalli ka muhtaj hun
raushni dene wale ko bhi kam se kam ek diya chahiye apne ghar ke liye
ai 'shakil' un ki mahfil mein bhi kya mila aur kuchh baDh gain dil ki be-tabiyan
sab ki jaanib rahi wo nigah-e-karam hum taraste rahe ek nazar ke liye
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 315)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.