aapko pata nahin jab aapko pata hun main
aap ko paatā nahīñ jab aap ko paatā huuñ maiñ
yā to kho jaatā huuñ yā phir kho diyā jaatā huuñ maiñ
ā.īna ban kar muqābil us ke jab aatā huuñ maiñ
bandagī meñ bhī ḳhudā.ī kī jhalak paatā huuñ maiñ
kuchh taḌap jaatā huuñ kuchh taḌpā diyā jaatā huuñ maiñ
kyā mohabbat jurm hai jis kī sazā paatā huuñ maiñ
had se baḌh jaatī hai jab kaifiyat-e-vāraftagī
har qadam par ik fareb-e-ārzū khātā huuñ maiñ
kaam ban jaate haiñ is dīvāngī meñ saikḌoñ
kuchh banāyā jā rahā huuñ kuchh banā jaatā huuñ maiñ
kuchh maqām aise bhī aate haiñ sulūk-e-ishq meñ
ek gum-dar-gum haqīqat ban ke rah jaatā huuñ maiñ
ek dhun aisī bhī hotī hai kisī kī yaad meñ
jāgtā huuñ dil se aur āñkhoñ se so jaatā huuñ maiñ
panja-e-dast-e-duā se bhī ḳhalāsī mil ga.ī
us kī marzī jab se apnā mudda.ā paatā huuñ maiñ
tohmat-e-markaz-gurezī se bachāyā ishaq ne
us ke dar se har jagah vābastagī paatā huuñ maiñ
fikr-e-uqbā kar ke nāhaq vaqt kyuuñ zaa.e.a karūñ
us ko ḳhud hī laaj hogī jis kā kahlātā huuñ maiñ
jaane kyuuñ vo aur bhī kuchh duur aate haiñ nazar
fikr kī manzil meñ jitnī duur bhī jaatā huuñ maiñ
us kī shān-e-dast-gīrī se kuchh aisā ishaq hai
ehtirāman bil-amad bhī Thokareñ khātā huuñ maiñ
luT ga.ī 'kāmil' jahāñ saarī matā-e-zindagī
kyā tamāshā hai vahīñ se zindagī paatā huuñ maiñ
aap ko pata nahin jab aap ko pata hun main
ya to kho jata hun ya phir kho diya jata hun main
aaina ban kar muqabil us ke jab aata hun main
bandagi mein bhi KHudai ki jhalak pata hun main
kuchh taDap jata hun kuchh taDpa diya jata hun main
kya mohabbat jurm hai jis ki saza pata hun main
had se baDh jati hai jab kaifiyat-e-waraftagi
har qadam par ek fareb-e-arzu khata hun main
kaam ban jate hain is diwangi mein saikDon
kuchh banaya ja raha hun kuchh bana jata hun main
kuchh maqam aise bhi aate hain suluk-e-ishq mein
ek gum-dar-gum haqiqat ban ke rah jata hun main
ek dhun aisi bhi hoti hai kisi ki yaad mein
jagta hun dil se aur aankhon se so jata hun main
panja-e-dast-e-dua se bhi KHalasi mil gai
us ki marzi jab se apna muddaa pata hun main
tohmat-e-markaz-gurezi se bachaya ishaq ne
us ke dar se har jagah wabastagi pata hun main
fikr-e-uqba kar ke nahaq waqt kyun zaea karun
us ko KHud hi laj hogi jis ka kahlata hun main
jaane kyun wo aur bhi kuchh dur aate hain nazar
fikr ki manzil mein jitni dur bhi jata hun main
us ki shan-e-dast-giri se kuchh aisa ishaq hai
ehtiraman bil-amad bhi Thokaren khata hun main
luT gai 'kaamil' jahan sari mata-e-zindagi
kya tamasha hai wahin se zindagi pata hun main
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 121)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.