kabe mein bas gaya hai sanam kis ke waste
kā'be meñ bas gayā hai sanam kis ke vāste
ḳhud but-kada banā hai haram kis ke vāste
hai dil-dahī meñ kis kī mirā qalb muztarib
sur'at meñ har nafas hai ye dam kis ke vāste
nushū-o-numā hamārā agar hai fanā ke baa'd
paidā huā hai mulk-e-’adam kis ke vāste
tuḳhm-e-zamīñ hai apnā tan-e-zār ek roz
kahiye ki haiñ ye nāz-o-ni.am kis ke vāste
sar-o-āh kar ke rote haiñ ho ho ke zard-rū
hai 'āshiqoñ ko dard-o-alam kis ke vāste
jo kuchh thī sar-navisht vo sab ḳhatm ho chukī
baaqī rahe haiñ lauh-o-qalam kis ke vāste
tahqīq kar lo aap hī apne se pūchh kar
is jā 'adam se aa.e haiñ ham kis ke vāste
gar bāġhbān-e-lam-yazalī ko nahīñ hai hirs
sarsabz hai ye bāġh-e-iram kis ke vāste
'ushshāq chal rahe haiñ jo har dam qadam kī raah
ḳhud uTh rahe haiñ un ke qadam kis ke vāste
mauj-o-hubāb-o-qatra-o-girdāb ban ke ḳhud
maḳhlūq par muhīt hai ham kis ke vāste
hai 'āshiqoñ ko sūra-e-iḳhlās kā jo vird
har ik nafs hai un kā ye zam kis ke vāste
'āshiq' na hote kHvāja-e-chishtī ke ham agar
aatā jahāñ meñ fazl-o-karam kis ke vāste
ka'be mein bas gaya hai sanam kis ke waste
KHud but-kada bana hai haram kis ke waste
hai dil-dahi mein kis ki mera qalb muztarib
sur'at mein har nafas hai ye dam kis ke waste
nushu-o-numa hamara agar hai fana ke ba'd
paida hua hai mulk-e-’adam kis ke waste
tuKHm-e-zamin hai apna tan-e-zar ek roz
kahiye ki hain ye naz-o-niam kis ke waste
sar-o-ah kar ke rote hain ho ho ke zard-ru
hai 'ashiqon ko dard-o-alam kis ke waste
jo kuchh thi sar-nawisht wo sab KHatm ho chuki
baqi rahe hain lauh-o-qalam kis ke waste
tahqiq kar lo aap hi apne se puchh kar
is ja 'adam se aae hain hum kis ke waste
gar baghban-e-lam-yazali ko nahin hai hirs
sarsabz hai ye bagh-e-iram kis ke waste
'ushshaq chal rahe hain jo har dam qadam ki rah
KHud uTh rahe hain un ke qadam kis ke waste
mauj-o-hubab-o-qatra-o-girdab ban ke KHud
maKHluq par muhit hai hum kis ke waste
hai 'ashiqon ko sura-e-iKHlas ka jo wird
har ek nafs hai un ka ye zam kis ke waste
'ashiq' na hote kHwaja-e-chishti ke hum agar
aata jahan mein fazl-o-karam kis ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.