KHalwat mein aa ke dekh KHuda hai hamare pas
ḳhalvat meñ aa ke dekh ḳhudā hai hamāre paas
haq ko na DhūñDh tū vo chhupā hai hamāre paas
āzār-e-'ishq kā ho masīhā se kab 'ilāj
jald aa marīz us kī davā hai hamāre paas
vājib hai ā.īna to banā mumkin us kā aks
hai ā.īna safā to jilā hai hamāre paas
ghūñT jo muñh pe Daal kar aa.e ho ai sanam
sābit tumhārā nāz-o-adā hai hamāre paas
hastī miTā kar apnī vujūd nigār meñ
ham ho ga.e fanā to baqā hai hamāre paas
har dam nasīb ham ko mulāqāt-e-yār hai
ḳhud vasl meñ haiñ māh-laqā hai hamāre paas
mā'būd meñ miTā de tirī 'abadiyat ko saaf
dikhlānā ḳhud ko jurm-o-ḳhatā hai hamāre paas
ātish se 'ishq kī jo jigar hai jalā huā
do din kī ziist kī ye ġhizā hai hamāre paas
jab 'ishq meñ sanam ke kiyā kufr iḳhtiyār
ham but-parast haiñ ye ravā hai hamāre paas
gar tujh ko mahviyat kī shahādat kā zauq hai
hur ban kar aa to karb-o-balā hai hamāre paas
ham ho ga.e fanā terī ulfat meñ ai sanam
hai tujh meñ gar jafā to vafā hai hamāre paas
ayyūb ko nasīb thā kab dard 'ishq kā
sābir haiñ ham faqīr razā hai hamāre paas
aa.e haiñ ham 'adam se pahan kar libās-e-'ūr
'uryānī apnī 'ain hayā hai hamāre paas
laatā hai iltijā koī aur koī mudda'ā
jab se vo mustajīb-e-du'ā hai hamāre paas
'āshiq' mu'īn-e-dīn ke ham āzād haiñ faqīr
kahte haiñ jo kuchh aaj bajā hai hamāre paas
KHalwat mein aa ke dekh KHuda hai hamare pas
haq ko na DhunDh tu wo chhupa hai hamare pas
aazar-e-'ishq ka ho masiha se kab 'ilaj
jald aa mariz us ki dawa hai hamare pas
wajib hai aaina to bana mumkin us ka aks
hai aaina safa to jila hai hamare pas
ghunT jo munh pe Dal kar aae ho ai sanam
sabit tumhaara naz-o-ada hai hamare pas
hasti miTa kar apni wujud nigar mein
hum ho gae fana to baqa hai hamare pas
har dam nasib hum ko mulaqat-e-yar hai
KHud wasl mein hain mah-laqa hai hamare pas
ma'bud mein miTa de teri 'abadiyat ko saf
dikhlana KHud ko jurm-o-KHata hai hamare pas
aatish se 'ishq ki jo jigar hai jala hua
do din ki zist ki ye ghiza hai hamare pas
jab 'ishq mein sanam ke kiya kufr iKHtiyar
hum but-parast hain ye rawa hai hamare pas
gar tujh ko mahwiyat ki shahadat ka zauq hai
hur ban kar aa to karb-o-bala hai hamare pas
hum ho gae fana teri ulfat mein ai sanam
hai tujh mein gar jafa to wafa hai hamare pas
ayyub ko nasib tha kab dard 'ishq ka
sabir hain hum faqir raza hai hamare pas
aae hain hum 'adam se pahan kar libas-e-'ur
'uryani apni 'ain haya hai hamare pas
lata hai iltija koi aur koi mudda'a
jab se wo mustajib-e-du'a hai hamare pas
'ashiq' mu'in-e-din ke hum aazad hain faqir
kahte hain jo kuchh aaj baja hai hamare pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.