tujhko agar hai ahmad-e-muKHtar ki talash
tujh ko agar hai ahmad-e-muḳhtār kī talāsh
karnī hai pahle haidar-e-karrār kī talāsh
kāfir kī justujū hai na dīñ-dār kī talāsh
dair-o-haram meñ mujh ko hai ik yaar kī talāsh
aayā 'adam se bhes meñ aadam ke jo yahāñ
hai mujh ko ai sanam usī makkār kī talāsh
banda kī zaat meñ hai ḳhudā jab chhupā huā
dar-parda mujh ko hai usī asrār kī talāsh
parda thā ġhairiyat kā jo muusā kī aañkh par
thī koh-e-tūr par use dīdār kī talāsh
hai dard-e-'ishq se jo masīhā ke dil ko josh
hai mujh ko us ke chāra-e-āzād kī talāsh
maiñ bechtā huuñ dil ko jo bāzār-e-'ishq meñ
rahtī hai mujh ko us ke ḳharīdār kī talāsh
nutq-e-nafas ko sun ke zabān ho ga.ī hai band
paa.ī 'abas jo mujh ko hai guftār kī talāsh
be-ḳhud maiñ huā huuñ sharāb-e-tahavvur se
har dam hai mujh ko ḳhāna-e-ḳhumār kī talāsh
tasbīh ko jo rishta-e-ulfat sanam se hai
kā'ba meñ bhī hai shaiḳh ko zunnār kī talāsh
sun kar anal-haq ab bhī zarā haq-rasī par aa
kab qatl ko ravā hai mere dildār kī talāsh
durr-e-yatīm ban ke girā ashk aañkh se
hai yaar ko jo gauhar-e-shahvār kī talāsh
zikr-e-zabān-o-dil se milegā na vo sanam
ai tālibo karo na tum azkār kī talāsh
mahjūr hai tajallī-e-jānāñ kā ḳhvāst-gār
ai vāsilo nahīñ mujhe anvār kī talāsh
apne 'amal pe kis liye zāhid ko naaz hai
rahmat ko terī jab hai gunahgār kī talāsh
ḳhvāja mu'īn-e-dīn kā maiñ 'āshiq' huuñ ramz-dāñ
rahtī hai mujh ko 'ishq ke ash'ār kī talāsh
tujh ko agar hai ahmad-e-muKHtar ki talash
karni hai pahle haidar-e-karrar ki talash
kafir ki justuju hai na din-dar ki talash
dair-o-haram mein mujh ko hai ek yar ki talash
aaya 'adam se bhes mein aadam ke jo yahan
hai mujh ko ai sanam usi makkar ki talash
banda ki zat mein hai KHuda jab chhupa hua
dar-parda mujh ko hai usi asrar ki talash
parda tha ghairiyat ka jo musa ki aankh par
thi koh-e-tur par use didar ki talash
hai dard-e-'ishq se jo masiha ke dil ko josh
hai mujh ko us ke chaara-e-azad ki talash
main bechta hun dil ko jo bazar-e-'ishq mein
rahti hai mujh ko us ke KHaridar ki talash
nutq-e-nafas ko sun ke zaban ho gai hai band
pai 'abas jo mujh ko hai guftar ki talash
be-KHud main hua hun sharab-e-tahawwur se
har dam hai mujh ko KHana-e-KHumar ki talash
tasbih ko jo rishta-e-ulfat sanam se hai
ka'ba mein bhi hai shaiKH ko zunnar ki talash
sun kar anal-haq ab bhi zara haq-rasi par aa
kab qatl ko rawa hai mere dildar ki talash
durr-e-yatim ban ke gira ashk aankh se
hai yar ko jo gauhar-e-shahwar ki talash
zikr-e-zaban-o-dil se milega na wo sanam
ai talibo karo na tum azkar ki talash
mahjur hai tajalli-e-jaanan ka KHwast-gar
ai wasilo nahin mujhe anwar ki talash
apne 'amal pe kis liye zahid ko naz hai
rahmat ko teri jab hai gunahgar ki talash
KHwaja mu'in-e-din ka main 'ashiq' hun ramz-dan
rahti hai mujh ko 'ishq ke ash'ar ki talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.