sanam ke jism mein aa kar nafs ka tar kahte hain
sanam ke jism meñ aa kar nafs kā taar kahte haiñ
barahman ban ke ḳhud gardan meñ ham zunnār rakhte haiñ
jo mūrat ban ke pahuñche haiñ jahāñ ki but-kada meñ ham
sarāsar ḳhud vujūd-e-ahmad-e-muḳhtār rakhte haiñ
hamārā 'ishq hai maz.hab hai sulh-e-kul hai diin apnā
haiñ saare ek aapas meñ na ham takrār rakhte haiñ
jo ham jalvat meñ baiThe haiñ hai ḳhalvat saath hī apne
baġhal meñ zāhir-o-poshīda ham dil-dār rakhte haiñ
sar-e-mashriq se maġhrib tak jo nāzir aap haiñ apne
munavvar ainamā se mus.haf-e-ruḳhsār rakhte haiñ
hamārī chashm kī putlī ke nuqta meñ hai ḳhud lailā
nazar kī ban ke majnūñ ham nigāh-e-yār rakhte haiñ
nazar kis ko kareñ ab ham haiñ aap hī vāmiq-o-'azrā
ki vahdat meñ na mutlaq ḳhvāhish-e-dīdār rakhte haiñ
ḳhudā ḳhud shash-jihat se hai sadā hairat-kada apnā
pare ham lā-makān ke haiñ kahāñ dīvār rakhte haiñ
banā kar shakl yūsuf kī ḳhudā ko jab se bechā hai
tabhī se 'ishq kā saudā sar-e-bāzār rakhte haiñ
nazar meñ apnī har ik shab tasavvur un kā rahtā hai
jo band aañkh apnī karte haiñ dil bedār rakhte haiñ
vahī mansūr haiñ ham bhī anal-haq kahte jā.eñge
chaḌheñge phir bhī suulī par na ḳhauf-e-vār rakhte haiñ
jo bahre ban ke sunte haiñ baġhair az taar saut-e-hū
banā kar rauzan dil se nai-e-mizmār rakhte haiñ
dikhā dete haiñ gum kar ke usī qālib meñ aadam ko
ham al-insāno sirrīyun haiñ baḌā asrār rakhte haiñ
banā hai jab.ha hastī kā ta’ashshuq se jo 'ālam meñ
sazā sar āla-e-nāsūt par dastār rakhte haiñ
na ho kyuuñ barzaḳh kubrā kā ham ko ḳhaas dā'va yahāñ
sarāpā miim ke nuqta se ham anvār rakhte haiñ
milā hai vasl kā jar'a jo ham ko sāġhar-e-dil se
mai-e-vahdat se āñkheñ ham sadā sarshār rakhte haiñ
kalām apnī sifat hai jo zabān chaltī hai ḳhud is se
raheñ ḳhāmosh kyuuñ kar ham lab-e-guftār rakhte haiñ
mu'īnuddīn chishtī ke jo kahlāte haiñ ham 'āshiq
jahāñ meñ ḳhaas ’ishq-e-haidar-e-karrār rakhte haiñ
sanam ke jism mein aa kar nafs ka tar kahte hain
barahman ban ke KHud gardan mein hum zunnar rakhte hain
jo murat ban ke pahunche hain jahan ki but-kada mein hum
sarasar KHud wujud-e-ahmad-e-muKHtar rakhte hain
hamara 'ishq hai mazhab hai sulh-e-kul hai din apna
hain sare ek aapas mein na hum takrar rakhte hain
jo hum jalwat mein baiThe hain hai KHalwat sath hi apne
baghal mein zahir-o-poshida hum dil-dar rakhte hain
sar-e-mashriq se maghrib tak jo nazir aap hain apne
munawwar ainama se mushaf-e-ruKHsar rakhte hain
hamari chashm ki putli ke nuqta mein hai KHud laila
nazar ki ban ke majnun hum nigah-e-yar rakhte hain
nazar kis ko karen ab hum hain aap hi wamiq-o-'azra
ki wahdat mein na mutlaq KHwahish-e-didar rakhte hain
KHuda KHud shash-jihat se hai sada hairat-kada apna
pare hum la-makan ke hain kahan diwar rakhte hain
bana kar shakl yusuf ki KHuda ko jab se becha hai
tabhi se 'ishq ka sauda sar-e-bazar rakhte hain
nazar mein apni har ek shab tasawwur un ka rahta hai
jo band aankh apni karte hain dil bedar rakhte hain
wahi mansur hain hum bhi anal-haq kahte jaenge
chaDhenge phir bhi suli par na KHauf-e-war rakhte hain
jo bahre ban ke sunte hain baghair az tar saut-e-hu
bana kar rauzan dil se nai-e-mizmar rakhte hain
dikha dete hain gum kar ke usi qalib mein aadam ko
hum al-insano sirriyun hain baDa asrar rakhte hain
bana hai jabha hasti ka ta’ashshuq se jo 'alam mein
saza sar aala-e-nasut par dastar rakhte hain
na ho kyun barzaKH kubra ka hum ko KHas da'wa yahan
sarapa mim ke nuqta se hum anwar rakhte hain
mila hai wasl ka jar'a jo hum ko saghar-e-dil se
mai-e-wahdat se aankhen hum sada sarshaar rakhte hain
kalam apni sifat hai jo zaban chalti hai KHud is se
rahen KHamosh kyun kar hum lab-e-guftar rakhte hain
mu'inuddin chishti ke jo kahlate hain hum 'ashiq
jahan mein KHas ’ishq-e-haidar-e-karrar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.