ye dil ab sanam se laga chahta hai
ye dil ab sanam se lagā chāhtā hai
ḳhudā raam apnā huā chāhtā hai
qadam kī nazar aatī hai raah sīdhī
qadam apnā dam meñ uThā chāhtā hai
huā 'āshiqī se yahī mujh ko hāsil
ki barbād 'ishq ab kiyā chāhtā hai
hai sīmāb ḳhud tālib-e-'aks dilbar
jo ā.īna par ab chaḌhā chāhtā hai
huā jab ki tuḳhm-e-zamīñ jism faanī
tab us gul se sabza ugā chāhtā hai
nihāñ burj-e-vahdat meñ hai nuur mutlaq
qamar abr meñ ḳhud chhupā chāhtā hai
samajh le ye ai shaiḳh sajda se pahle
ki sar kis ke aage jhukā chāhtā hai
banā māh-e-nau hai ḳhud abru-e-jānāñ
ye nāḳhun se 'uqda khulā chāhtā hai
mujhe 'ishq phuslā ke laayā 'adam se
burā ho jo us kā bhalā chāhtā hai
chhupātā hai tasbīh meñ shaiḳh zunnār
musalmāñ bhī hindu banā chāhtā hai
hijāb uTh gayā vasl meñ jabki dil se
sanam mujh se har dam milā chāhtā hai
hai tambūra-e-sar meñ āvāz-e-mutlaq
dil us kā hī naġhma sunā chāhtā hai
maiñ ai kHvāja-e-chisht 'āshiq' huuñ terā
har ik mujh ko shāh-o-gadā chāhtā hai
ye dil ab sanam se laga chahta hai
KHuda ram apna hua chahta hai
qadam ki nazar aati hai rah sidhi
qadam apna dam mein uTha chahta hai
hua 'ashiqi se yahi mujh ko hasil
ki barbaad 'ishq ab kiya chahta hai
hai simab KHud talib-e-'aks dilbar
jo aaina par ab chaDha chahta hai
hua jab ki tuKHm-e-zamin jism fani
tab us gul se sabza uga chahta hai
nihan burj-e-wahdat mein hai nur mutlaq
qamar abr mein KHud chhupa chahta hai
samajh le ye ai shaiKH sajda se pahle
ki sar kis ke aage jhuka chahta hai
bana mah-e-nau hai KHud abru-e-jaanan
ye naKHun se 'uqda khula chahta hai
mujhe 'ishq phusla ke laya 'adam se
bura ho jo us ka bhala chahta hai
chhupata hai tasbih mein shaiKH zunnar
musalman bhi hindu bana chahta hai
hijab uTh gaya wasl mein jabki dil se
sanam mujh se har dam mila chahta hai
hai tambura-e-sar mein aawaz-e-mutlaq
dil us ka hi naghma suna chahta hai
main ai kHwaja-e-chisht 'ashiq' hun tera
har ek mujh ko shah-o-gada chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.