hum apne siwa ghair ko sajda nahin karte
ham apne sivā ġhair ko sajda nahīñ karte
kuchh apne baġhair aur ko paayā nahīñ karte
ik taur pe jab rahtī nahīñ apnī tabī'at
kis haal meñ ham rahte haiñ samjhā nahīñ karte
ham aap hoñ jab ek to dīdār ho kis kā
kyuuñ apne ko phir aap hī dekhā nahīñ karte
jab madd-e-nazar hī nahīñ tasvīr-e-misālī
kyuuñ ā.īna-e-dil ko musaffā nahīñ karte
zāhir meñ to milne se hijāb aatā hai ham ko
parde meñ chale aao to parda nahīñ karte
takfīr meñ zāhid na hamārī ho to kāfir
aap apne sivā ġhair ko puujā nahīñ karte
bad-kār hameñ kahtī hai maḳhlūq to kah le
jo kuchh ki ham ab karte haiñ be-jā nahīñ karte
mastoñ se agar pūchheñ to 'uqda khule us kā
be-ḳhud jo rahā karte haiñ kyā-kyā nahīñ karte
'āshiq tire kahlāte haiñ ai kHvāja-e-chishtī
jo kuchh hai tū hai aur kī parvā nahīñ karte
hum apne siwa ghair ko sajda nahin karte
kuchh apne baghair aur ko paya nahin karte
ek taur pe jab rahti nahin apni tabi'at
kis haal mein hum rahte hain samjha nahin karte
hum aap hon jab ek to didar ho kis ka
kyun apne ko phir aap hi dekha nahin karte
jab madd-e-nazar hi nahin taswir-e-misali
kyun aaina-e-dil ko musaffa nahin karte
zahir mein to milne se hijab aata hai hum ko
parde mein chale aao to parda nahin karte
takfir mein zahid na hamari ho to kafir
aap apne siwa ghair ko puja nahin karte
bad-kar hamein kahti hai maKHluq to kah le
jo kuchh ki hum ab karte hain be-ja nahin karte
maston se agar puchhen to 'uqda khule us ka
be-KHud jo raha karte hain kya-kya nahin karte
'ashiq tere kahlate hain ai kHwaja-e-chishti
jo kuchh hai tu hai aur ki parwa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.