ek aalam hai ki maqtal mein hai qatil ki taraf
ek 'ālam hai ki maqtal meñ hai qātil kī taraf
dhaar ḳhanjar kī faqat 'āshiq-e-be-dil kī taraf
us se māñgā bhī agar kuchh to usī ko māñgā
dekhnā hausla-o-himmat saa.el kī taraf
nisbat-e-shirk ba-juz tohmat-e-bejā kyā hai
dil hai jab us kī taraf ruḳh hai vasā.el kī taraf
tark-e-duniyā to hai duniyā-talabī se āsāñ
chhoḌ kar sahl 'abas jaate haiñ mushkil kī taraf
kaun is ghaaT se utrā ki janāb-e-'āsī'
bosa lene ko jhuke haiñ lab-e-sāhil kī taraf
ek 'alam hai ki maqtal mein hai qatil ki taraf
dhaar KHanjar ki faqat 'ashiq-e-be-dil ki taraf
us se manga bhi agar kuchh to usi ko manga
dekhna hausla-o-himmat sael ki taraf
nisbat-e-shirk ba-juz tohmat-e-beja kya hai
dil hai jab us ki taraf ruKH hai wasael ki taraf
tark-e-duniya to hai duniya-talabi se aasan
chhoD kar sahl 'abas jate hain mushkil ki taraf
kaun is ghaT se utra ki janab-e-'asi'
bosa lene ko jhuke hain lab-e-sahil ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.