Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

malum nahin ye baat hai kya sarkar tumhaari mahfil mein

Abdul Hadi Kavish

malum nahin ye baat hai kya sarkar tumhaari mahfil mein

Abdul Hadi Kavish

ma.alūm nahīñ ye baat hai kyā sarkār tumhārī mahfil meñ

dil aur dhaḌaktā hai ziyāda sarkār tumhārī mahfil meñ

ye qaal nahīñ hai haal hai ye qadmoñ meñ taḌaptā hai bismil

marne meñ bhī hai jiine maza sarkār tumhārī mahfil meñ

karte ho diloñ saudā tum īmān ke tum rahzan Thahre

ham ne bhī har ik shai hai luTā sarkār tumhārī mahfil meñ

kyā dil meñ tamannā ho us ke kis chiiz chāhat ho us ko

sar apnā diyā ho jis ne kaTā sarkār tumhārī mahfil meñ

ye baat nahīñ hai kahne 'kāvish' ne magar ḳhud dekhā hai

āshiq bhī to ho jaatā hai fanā sarkār tumhārī mahfil meñ

malum nahin ye baat hai kya sarkar tumhaari mahfil mein

dil aur dhaDakta hai ziyaada sarkar tumhaari mahfil mein

ye qal nahin hai haal hai ye qadmon mein taDapta hai bismil

marne mein bhi hai jine ka maza sarkar tumhaari mahfil mein

karte ho dilon ka sauda tum iman ke tum rahzan Thahre

hum ne bhi har ek shai di hai luTa sarkar tumhaari mahfil mein

kya dil mein tamanna ho us ke kis chiz ki chahat ho us ko

sar apna diya ho jis ne kaTa sarkar tumhaari mahfil mein

ye baat nahin hai kahne ki 'kawish' ne magar KHud dekha hai

aashiq bhi to ho jata hai fana sarkar tumhaari mahfil mein

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now