dil mein KHayal tere siwa do-jahan na ho
dil meñ ḳhayāl tere sivā do-jahāñ na ho
tū ho jahāñ meñ baaqī ye kaun-o-makāñ na ho
ghar meñ savā.e tere koī dil-sitāñ na ho
hañgām-e-vasl-e-gird mire pāsbāñ na ho
haiñ zaat se ye tere sab ābād do-jahāñ
kyā vasf terā koī kare gar zabāñ na ho
naqsh-e-qadam kī tarh se ḳhāna ḳharāb huuñ
mujh-sā kahīñ jahāñ meñ koī be-nishāñ na ho
sūrat-parast bulbul-e-vahshī-sā kū-ba-kū
lāzim hai 'āshiqoñ kā koī āshiyāñ na ho
aġhyār haiñ bahut se magar yaar ek hai
dil ke sivā to apnā koī mehrbāñ na ho
ahl-e-ḳhāna kis liye anjān ho ga.e
be-qadar kar diye haiñ mire qadar-dāñ na ho
lailā kī yaad meñ dil-e-majnūñ machal gayā
naaqa ke pīchhe 'sahv' kahīñ sārbāñ na ho
dil mein KHayal tere siwa do-jahan na ho
tu ho jahan mein baqi ye kaun-o-makan na ho
ghar mein sawae tere koi dil-sitan na ho
hangam-e-wasl-e-gird mere pasban na ho
hain zat se ye tere sab aabaad do-jahan
kya wasf tera koi kare gar zaban na ho
naqsh-e-qadam ki tarh se KHana KHarab hun
mujh-sa kahin jahan mein koi be-nishan na ho
surat-parast bulbul-e-wahshi-sa ku-ba-ku
lazim hai 'ashiqon ka koi aashiyan na ho
aghyar hain bahut se magar yar ek hai
dil ke siwa to apna koi mehrban na ho
ahl-e-KHana kis liye anjaan ho gae
be-qadar kar diye hain mere qadar-dan na ho
laila ki yaad mein dil-e-majnun machal gaya
naqa ke pichhe 'sahw' kahin sarban na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.