ajab karam shah-e-wala tabar karte hain
'ajab karam shah-e-vālā tabār karte haiñ
ke nā-ummīdoñ ko ummīd-vār karte haiñ
jo ḳhush-nasīb yahāñ ḳhāk-e-dar pe baiThe haiñ
julūs-e-masnad-e-shāhī se 'aar karte haiñ
sunā ke vasf ruḳh-e-pāk-e-'andalīb ko ham
rahīn-e-āmad-e-fasl-e-bahār karte haiñ
banā.ī pusht na kā'ba kī un ke ghar kī taraf
jinheñ ḳhabar hai vo aisā vaqār karte haiñ
sagān-e-kū-e-nabī ke nasīb par qurbāñ
paḌe hue sar-e-rah iftiḳhār karte haiñ
kushūd 'uqda-e-mushkil kī kyuuñ maiñ fikr karūñ
ye kaam to mire taiba ke ḳhaar karte haiñ
'hasan' kī jaan ho us vus'at-e-karam pe nisār
ke ik jahān ko ummīd-vār karte haiñ
'ajab karam shah-e-wala tabar karte hain
ke na-ummidon ko ummid-war karte hain
jo KHush-nasib yahan KHak-e-dar pe baiThe hain
julus-e-masnad-e-shahi se 'ar karte hain
suna ke wasf ruKH-e-pak-e-'andalib ko hum
rahin-e-amad-e-fasl-e-bahaar karte hain
banai pusht na ka'ba ki un ke ghar ki taraf
jinhen KHabar hai wo aisa waqar karte hain
sagan-e-ku-e-nabi ke nasib par qurban
paDe hue sar-e-rah iftiKHar karte hain
kushud 'uqda-e-mushkil ki kyun main fikr karun
ye kaam to mere taiba ke KHar karte hain
'hasan' ki jaan ho us wus'at-e-karam pe nisar
ke ek jahan ko ummid-war karte hain
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.