tumhaare husn ki jab tak bahaar baqi hai
tumhāre husn kī jab tak bahār baaqī hai
jo chāho zulam karo iḳhtiyār baaqī hai
ḳhudā ke vāste sūrat dikhā de o zālim
maiñ jāñbalab huuñ tirā intizār baaqī hai
kyā jo vasl kā inkār khul gayā ham ko
tumhāre dil meñ abhī tak ġhubār baaqī hai
ye fasal hai ki chalo baaġh mai-kahsī ho jaa.e
sharāb shīshe meñ hai aur bahār baaqī hai
ḳhudā ke fazl se itnā to ho gayā hāsil
butoñ ke dil meñ abhī tak ġhubār baaqī hai
tumhāre aañkh se sābit huā hai ai 'akbar'
sharāb-e-vasl kā ab tak ḳhumār baaqī hai
tumhaare husn ki jab tak bahaar baqi hai
jo chaho zulam karo iKHtiyar baqi hai
KHuda ke waste surat dikha de o zalim
main jaanbalab hun tera intizar baqi hai
kya jo wasl ka inkar khul gaya hum ko
tumhaare dil mein abhi tak ghubar baqi hai
ye fasal hai ki chalo bagh mai-kahsi ho jae
sharab shishe mein hai aur bahaar baqi hai
KHuda ke fazl se itna to ho gaya hasil
buton ke dil mein abhi tak ghubar baqi hai
tumhaare aankh se sabit hua hai ai 'akbar'
sharab-e-wasl ka ab tak KHumar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.