ali imam-e-manast-o-manam ghulam-e-ali
Interesting Fact
مناقب در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)
'alī imām-e-manast-o-manam ġhulām-e-'alī
hazār jān-e-girāmī fidā-e-nām-e-'alī
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtazā 'alī hastam
peshvā-e-tamām-e-rindānam
ki sag-e-kū-e-sher-e-yazdānam
kabhī dīvār hiltī hai kabhī dar kaañp jaatā hai
'alī kā naam sun-kar ab bhī ḳhaibar kaañp jaatā hai
shāh-e-mardāñ 'alī
'alī 'alī 'alī
'alī maulā 'alī
patthar pe 'alam diin kā gaaḌā jis ne
lalkār kar marhab ko pachhāḌā jis ne
haq
'alī 'alī 'alī
'alī maulā 'alī
jap le jap le mere manvā
yahī naam sachchā hai pyāre
yahī naam tere sab dukh haare
isī naam kī barakat ne diyā rāz-e-haqīqat khol
shāh-e-mardāñ 'alī
lā fatal illā 'alī
sher-e-yazdāñ 'alī
tan par 'alī 'alī ho zabāñ par 'alī 'alī
mar jā.ūñ to kafan par bhī likhnā 'alī 'alī
ba-ġhair hubb-e-alī mudda.ā nahīñ miltā
'ibādatoñ kā bhī hargiz sila nahīñ miltā
ḳhudā ke bando suno ġhaur se ḳhudā kī qasam
jise 'alī nahīñ miltā use ḳhudā nahīñ miltā
ba-sad talāsh na ab kuchh vus'at nazar se milā
nishān-e-manzil-e-maqsūd rahbar se milā
'alī mile to mile ḳhāna-e-ḳhudā se hameñ
ḳhudā ko DhūñDhā to vo bhī 'alī ke ghar se milā
dīd-e-haidar kī 'ibādat hai ye farmān-e-nabī
hai 'alī rūh-e-nabī jism-e-nabī jān-e-nabī
gul-e-tathīr-e-'alī 'alī
haq kī shamshīr 'alī
pīroñ ke piir 'alī
dast-e-illā kyuuñ na ho sher-e-ḳhudā 'alī
maqsūd har-'atā hai shāh-e-lā-fatā 'alī
jis tarah ek zāt-e-mohammad hai be-misāl
paidā huā na hogā koī dūsrā 'alī
bedam yahī to pāñch haiñ maqsūd-e-kā.ināt
ḳhairunnisā husain-o-hasan mustafā 'alī
haq
'alī 'alī 'alī
'alī maulā 'alī
'ali imam-e-manast-o-manam ghulam-e-'ali
hazar jaan-e-girami fida-e-nam-e-'ali
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtaza 'ali hastam
peshwa-e-tamam-e-rindanam
ki sag-e-ku-e-sher-e-yazdanam
kabhi diwar hilti hai kabhi dar kanp jata hai
'ali ka nam sun-kar ab bhi KHaibar kanp jata hai
shah-e-mardan 'ali
'ali 'ali 'ali
'ali maula 'ali
patthar pe 'alam din ka gaDa jis ne
lalkar kar marhab ko pachhaDa jis ne
haq
'ali 'ali 'ali
'ali maula 'ali
jap le jap le mere manwa
yahi nam sachcha hai pyare
yahi nam tere sab dukh haare
isi nam ki barakat ne diya raaz-e-haqiqat khol
shah-e-mardan 'ali
la fatal illa 'ali
sher-e-yazdan 'ali
tan par 'ali 'ali ho zaban par 'ali 'ali
mar jaun to kafan par bhi likhna 'ali 'ali
ba-ghair hubb-e-ali muddaa nahin milta
'ibaadaton ka bhi hargiz sila nahin milta
KHuda ke bando suno ghaur se KHuda ki qasam
jise 'ali nahin milta use KHuda nahin milta
ba-sad talash na ab kuchh wus'at nazar se mila
nishan-e-manzil-e-maqsud rahbar se mila
'ali mile to mile KHana-e-KHuda se hamein
KHuda ko DhunDha to wo bhi 'ali ke ghar se mila
did-e-haidar ki 'ibaadat hai ye farman-e-nabi
hai 'ali ruh-e-nabi jism-e-nabi jaan-e-nabi
gul-e-tathir-e-'ali 'ali
haq ki shamshir 'ali
piron ke pir 'ali
dast-e-illa kyun na ho sher-e-KHuda 'ali
maqsud har-'ata hai shah-e-la-fata 'ali
jis tarah ek zat-e-mohammad hai be-misal
paida hua na hoga koi dusra 'ali
bedam yahi to panch hain maqsud-e-kainat
KHairunnisa husain-o-hasan mustafa 'ali
haq
'ali 'ali 'ali
'ali maula 'ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.