dil tapa husn-e-sarmadi ke liye
dil tapā husn-e-sarmadī ke liye
aañkh pur-nam hai phir kisī ke liye
dair-o-kā'ba ko chhoḌ aayā huuñ
ek kāfir kī bandagī ke liye
chashm-e-sāqī kī yaad kaafī hai
hashr tak ek be-ḳhudī ke liye
hoñT āb-e-hayāt se labrez
zaḳhmī rūhoñ kī tishnagī ke liye
hai tasavvur meñ husn-e-tāb us kā
shab kī zulmat meñ raushnī ke liye
'umr-bhar ke liye asiir hue
us ko dekhā thā dil-lagī ke liye
misl-e-ḳhushbū huā huuñ āvāra
dar badar ek ajnabī ke liye
ḳhud hī roz-e-alast bachhḌā thā
ab hai be-chain vāpsī ke liye
maqsad-e-zindagī nahīñ mā'lūm
jī rahā huuñ ek aadmī ke liye
'ishq bin zindagī nahīñ kuchh bhī
kaash miT jaa.e tū kisī ke liye
mahv-e-isbāt huuñ 'alīmullāh'
us ke har ġhair kī nafī ke liye
dil tapa husn-e-sarmadi ke liye
aankh pur-nam hai phir kisi ke liye
dair-o-ka'ba ko chhoD aaya hun
ek kafir ki bandagi ke liye
chashm-e-saqi ki yaad kafi hai
hashr tak ek be-KHudi ke liye
honT aab-e-hayat se labrez
zaKHmi ruhon ki tishnagi ke liye
hai tasawwur mein husn-e-tab us ka
shab ki zulmat mein raushni ke liye
'umr-bhar ke liye asir hue
us ko dekha tha dil-lagi ke liye
misl-e-KHushbu hua hun aawara
dar badar ek ajnabi ke liye
KHud hi roz-e-alast bachhDa tha
ab hai be-chain wapsi ke liye
maqsad-e-zindagi nahin ma'lum
ji raha hun ek aadmi ke liye
'ishq bin zindagi nahin kuchh bhi
kash miT jae tu kisi ke liye
mahw-e-isbaat hun 'alimullah'
us ke har ghair ki nafi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.