Font by Mehr Nastaliq Web

nigahon mein bhari wo shoKHiyan hain

Ameer Bakhsh Sabri

nigahon mein bhari wo shoKHiyan hain

Ameer Bakhsh Sabri

MORE BYAmeer Bakhsh Sabri

    nigāhoñ meñ bharī vo shoḳhiyāñ haiñ

    taḌaptī har adā meñ bijliyāñ haiñ

    ḳhabar aane un ke de rahī haiñ

    naza.a meñ aa rahī jo hichkiyāñ haiñ

    merā īmān luuTe rahī haiñ

    ye kis kāfir adā shoḳhiyāñ haiñ

    vo is andāz se parde se nikle

    ki chhā.īñ har taraf ra'anā.iyāñ haiñ

    ḳhudā rakhe salāmat dard-e-ulfat

    baḌī rāhat-fazā tanhā.iyāñ haiñ

    maiñ is andāz se mahshar meñ aayā

    mire aage mirī rusvā.iyāñ haiñ

    tasavvur meñ hue vo jalva-afgan

    nazar meñ kauñdtī phir bijliyāñ haiñ

    'amīr'-e-sābarī par pyāre aġhyār

    bahut aaqā karam-farmā.iyāñ haiñ

    nigahon mein bhari wo shoKHiyan hain

    taDapti har ada mein bijliyan hain

    KHabar aane ki un ke de rahi hain

    naza mein aa rahi jo hichkiyan hain

    mera iman luTe ja rahi hain

    ye kis kafir ada ki shoKHiyan hain

    wo is andaz se parde se nikle

    ki chhain har taraf ra'anaiyan hain

    KHuda rakhe salamat dard-e-ulfat

    baDi rahat-faza tanhaiyan hain

    main is andaz se mahshar mein aaya

    mere aage meri ruswaiyan hain

    tasawwur mein hue wo jalwa-afgan

    nazar mein kaundti phir bijliyan hain

    'amir'-e-sabari par pyare aghyar

    bahut aaqa karam-farmaiyan hain

    Source :
    • Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 83)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now