tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
tiir khāne kī havas hai to jigar paidā kar
sarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
kohkan koh-kanī sheva-e-ushshāq nahīñ
hai jo āshiq dil-e-ma.ashūq meñ ghar paidā kar
rañg chāhe agar us baaġh meñ āzādī kā
nik.hat-e-gul kī tarah shauq-e-safar paidā kar
qatra-e-ashk bane gauhar-e-gosh-e-jāñāñ
aabrū itnī to ai dīda-e-tar paidā kar
uḌ chalegā abhī ai yaar zarā baal to khol
tujh ko banñā hai parī-zād to par paidā kar
kaun sī jā hai jahāñ jalva-e-ma.ashūq nahīñ
shauq-e-dīdār agar hai to nazar paidā kar
mere hī dil pe gire kaash ye bijlī ban kar
ai falak aah meñ itnā hī asar paidā kar
āḳhirat meñ amal nek hī kaam ā.eñge
pesh hai tujh ko safar zād-e-safar paidā kar
ishq-e-husn-e-namkīn kā jo uThānā hai mazā
pahle kuchh zā.iqa-e-zakHm-e-jigar paidā kar
apnī gardish pe bahut hai tujhe ai charḳh ghamanD
jab maiñ jānūñ ki shab-e-ġham kī sahar paidā kar
sadme ulfat ke uThāne haiñ ilāhī mushkil
dil agar ek diyā laakh jigar paidā kar
ishq-bāzī kā agar hausla rakhtā hai 'amīr'
dil jo lohe kā to patthar kā jigar paidā kar
tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar
kohkan koh-kani shewa-e-ushshaq nahin
hai jo aashiq dil-e-mashuq mein ghar paida kar
rang chahe agar us bagh mein aazadi ka
nikhat-e-gul ki tarah shauq-e-safar paida kar
qatra-e-ashk bane gauhar-e-gosh-e-jaanan
aabru itni to ai dida-e-tar paida kar
uD chalega abhi ai yar zara baal to khol
tujh ko banna hai pari-zad to par paida kar
kaun si ja hai jahan jalwa-e-mashuq nahin
shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar
mere hi dil pe gire kash ye bijli ban kar
ai falak aah mein itna hi asar paida kar
aaKHirat mein amal nek hi kaam aaenge
pesh hai tujh ko safar zad-e-safar paida kar
ishq-e-husn-e-namkin ka jo uThana hai maza
pahle kuchh zaiqa-e-zakHm-e-jigar paida kar
apni gardish pe bahut hai tujhe ai charKH ghamanD
jab main jaanun ki shab-e-gham ki sahar paida kar
sadme ulfat ke uThane hain ilahi mushkil
dil agar ek diya lakh jigar paida kar
ishq-bazi ka agar hausla rakhta hai 'amir'
dil jo lohe ka to patthar ka jigar paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.