mila nam-e-KHuda wo martaba tujhko hasin hokar
milā nām-e-ḳhudā vo martaba tujh ko hasīñ hokar
falak karatā hai mujrā terī chaukhaT ko zamīñ hokar
bachegī aabrū duniyā meñ to uzlat-nashīñ hokar
sadaf meñ baiTh rahnā chāhiye durr-e-samīñ hokar
ḳharāsh-e-ġham ne kaisā mere dil kā rañg chamkāyā
ziyāda ho gayā qīmat meñ kunda ye nagīñ hokar
kalejā taḳhta sausan kā banā hai niile dāġhoñ se
ġhazab kī lī haiñ dil meñ chuTkiyāñ pahlū-nashīñ hokar
kamar ko baal jab maiñ ne kahā jhuñjhlā ke farmāyā
na samjhe aap moTī baat bhī bārīk-bīñ hokar
baḌā hī faḳhr qāsid ko huā ḳhat pā ke Dartā huuñ
falak par uḌ na jaa.e ye kahīñ rūh-ul-amīñ hokar
tasavvur hai vahī pesh-e-nazar har dam hasīnoñ kā
tamāshā hai rah-e-mahfil meñ ham ḳhalvat-nashīñ hokar
kamar hai baal sī ai gul-badan lachke na chalne meñ
na itnā chāhiye mūbāf bhārī nāznīñ hokar
batā de ai falak tuuhī ta.ajjub ham ko aatā hai
ki ḳhush hotā hai phir kyuuñ koī andohgīñ hokar
bahār-e-lāla-o-gul phir kabhī kaahe ko dekheñge
chale haiñ is chaman se ham nigāh-e-vāpsīñ hokar
malūñ jis dam maiñ āñkheñ un ke saa.id se dam-e-ruḳhsat
to rah jaanā vahīñ ai parda-e-chashm āstīñ hokar
jo dil bhī mehrbāñ ho kab zabāñ hai un ke qaabū meñ
jo lab tak haañ bhī aatī hai nikaltī hai nahīñ hokar
lagāyā to gale se par lagā.ī teġh bhī us ne
milā to ii.d ke din vo magar chiiñ bar-jabīñ hokar
ḳhudā momin kī sūrat rizq kāfir ko bhī detā hai
kisī ko bhuul jaa.e kyā vo rabbul-ālamīñ hokar
jagah pakḌī hai kyuuñ sunñe meñ dil ne is se kyā hāsil
kisī añgushtarī meñ is ko rahnā thā nagīñ hokar
tasavvur bañdh gayā jis shaam ko us hūr-tal.at kā
to aayā ḳhvāb āñkhoñ meñ parī ban kar hasīñ hokar
'amīr' ik ā.īna-ḳhāna thā duniyā jis ko kahte haiñ
vahī sūrat rahī pesh-e-nazar niklī kahīñ hokar
mila nam-e-KHuda wo martaba tujh ko hasin hokar
falak karata hai mujra teri chaukhaT ko zamin hokar
bachegi aabru duniya mein to uzlat-nashin hokar
sadaf mein baiTh rahna chahiye durr-e-samin hokar
KHarash-e-gham ne kaisa mere dil ka rang chamkaya
ziyaada ho gaya qimat mein kunda ye nagin hokar
kaleja taKHta sausan ka bana hai nile daghon se
ghazab ki li hain dil mein chuTkiyan pahlu-nashin hokar
kamar ko baal jab main ne kaha jhunjhla ke farmaya
na samjhe aap moTi baat bhi barik-bin hokar
baDa hi faKHr qasid ko hua KHat pa ke Darta hun
falak par uD na jae ye kahin ruh-ul-amin hokar
tasawwur hai wahi pesh-e-nazar har dam hasinon ka
tamasha hai rah-e-mahfil mein hum KHalwat-nashin hokar
kamar hai baal si ai gul-badan lachke na chalne mein
na itna chahiye mubaf bhaari naznin hokar
bata de ai falak tuhi tajjub hum ko aata hai
ki KHush hota hai phir kyun koi andohgin hokar
bahaar-e-lala-o-gul phir kabhi kahe ko dekhenge
chale hain is chaman se hum nigah-e-wapsin hokar
malun jis dam main aankhen un ke said se dam-e-ruKHsat
to rah jaana wahin ai parda-e-chashm aastin hokar
jo dil bhi mehrban ho kab zaban hai un ke qabu mein
jo lab tak han bhi aati hai nikalti hai nahin hokar
lagaya to gale se par lagai tegh bhi us ne
mila to id ke din wo magar chin bar-jabin hokar
KHuda momin ki surat rizq kafir ko bhi deta hai
kisi ko bhul jae kya wo rabbul-alamin hokar
jagah pakDi hai kyun sunne mein dil ne is se kya hasil
kisi angushtari mein is ko rahna tha nagin hokar
tasawwur bandh gaya jis sham ko us hur-talat ka
to aaya KHwab aankhon mein pari ban kar hasin hokar
'amir' ek aaina-KHana tha duniya jis ko kahte hain
wahi surat rahi pesh-e-nazar nikli kahin hokar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.