dam teri ulfat-e-poshida ka bharne wale
dam tirī ulfat-e-poshida kā bharne vaale
dil jale siina jale uf nahīñ karne vaale
ishq meñ jī se guzarte haiñ guzarne vaale
maut kī raah nahīñ dekhte marne vaale
dāġh-e-dil se mere kahtā hai ye us kā joban
dekh is tarah ubharte haiñ ubharne vaale
bazm-e-mātam meñ kabhī shab hī ko aa jā chhup kar
o mere sog ke parde meñ sañvarne vaale
phir bahār aa.ī hai phir ham ko junūñ hotā hai
kyā din aa.e haiñ farāġhat se guzarne vaale
dīda-o-dil meñ raqīboñ ke base haiñ jā kar
merī āñkhoñ se mere dil meñ utarne vaale
āḳhirī vaqt bhī puurā na kiyā va.ada-e-vasl
aap aate hī rahe mar ga.e marne vaale
phir khichegī mai-e-gul-rañg chaḌheñge nashshe
ḳhoshe añgūr ke rindo haiñ utarne vaale
uTThe aur kūcha-e-mahbūb ko pahuñche āshiq
ye musāfir nahīñ raste meñ Thaharne vaale
baam par khol ke zulfoñ ko vo ḳhud kahte haiñ
rāsta band yahī saañp haiñ karne vaale
bahr-e-hastī meñ jo Duube to adam meñ nikle
paar utar jaate haiñ yuuñ paar utarne vaale
naza.a meñ ham haiñ ġham-e-ishq ye chillātā hai
dekh ġhurbat meñ mujhe chhoḌ na marne vaale
dil-e-be-tāb magar aah koī kī tuune
ro uThe chīñḳh ke kyuuñ baat na karne vaale
ab maze uTTheñge uThtī hai javānī un kī
naḳhl-e-ummīd se do phal haiñ utar ne vaale
kyuuñ raqīboñ se jalūñ maiñ ki ye sab haiñ ai turk
zikr merā tirī sarkār meñ karne vaale
vaqt-e-inkār zabāñ chaltī hai ḳhanjar kī tarah
ḳhuun iqrār kā karte haiñ mukarne vaale
jaan dene ko kahā un se to hañs kar bole
tum salāmat raho har roz ke marne vaale
āb-e-ḳhanjar ko bhī qātil ne mujhe tarsāyā
na diye halq se do ghoñT utarne vaale
murde par murde mazāroñ meñ gaḌeñge tā-hashr
laakh mehmān hoñ ye ghar nahīñ bharne vaale
teġh-o-ḳhanjar se na jhagḌā sar-o-gardan kā miTā
chal diye moḌ ke muñh faisla karne vaale
naza.a meñ kyā nazar aatā hai koī barq-e-jamāl
āñkheñ kar lete haiñ kyuuñ band ye marne vaale
kabhī dāġhoñ ke chaman par bhī nazar hasrat se
o mere phūloñ meñ phūloñ se sañvarne vaale
jab maiñ kahtā huuñ ki martā huuñ to kahtī hai ajal
mar bhī chuk ab kahīñ o roz ke marne vaale
naza.a kā vaqt jo guzrā to ḳhushī kyā is kī
aise sadme abhī kitne haiñ guzarne vaale
āsmāñ par jo sitāre nikal aa.e to 'amīr'
yaad aa.e mujhe daaġh apne ubharne vaale
dam teri ulfat-e-poshida ka bharne wale
dil jale sina jale uf nahin karne wale
ishq mein ji se guzarte hain guzarne wale
maut ki rah nahin dekhte marne wale
dagh-e-dil se mere kahta hai ye us ka joban
dekh is tarah ubharte hain ubharne wale
bazm-e-matam mein kabhi shab hi ko aa ja chhup kar
o mere sog ke parde mein sanwarne wale
phir bahaar aai hai phir hum ko junun hota hai
kya din aae hain faraghat se guzarne wale
dida-o-dil mein raqibon ke base hain ja kar
meri aankhon se mere dil mein utarne wale
aaKHiri waqt bhi pura na kiya wada-e-wasl
aap aate hi rahe mar gae marne wale
phir khichegi mai-e-gul-rang chaDhenge nashshe
KHoshe angur ke rindo hain utarne wale
uTThe aur kucha-e-mahbub ko pahunche aashiq
ye musafir nahin raste mein Thaharne wale
baam par khol ke zulfon ko wo KHud kahte hain
rasta band yahi sanp hain karne wale
bahr-e-hasti mein jo Dube to adam mein nikle
par utar jate hain yun par utarne wale
naza mein hum hain gham-e-ishq ye chillata hai
dekh ghurbat mein mujhe chhoD na marne wale
dil-e-be-tab magar aah koi ki tune
ro uThe chinKH ke kyun baat na karne wale
ab maze uTThenge uThti hai jawani un ki
naKHl-e-ummid se do phal hain utar ne wale
kyun raqibon se jalun main ki ye sab hain ai turk
zikr mera teri sarkar mein karne wale
waqt-e-inkar zaban chalti hai KHanjar ki tarah
KHun iqrar ka karte hain mukarne wale
jaan dene ko kaha un se to hans kar bole
tum salamat raho har roz ke marne wale
aab-e-KHanjar ko bhi qatil ne mujhe tarsaya
na diye halq se do ghonT utarne wale
murde par murde mazaron mein gaDenge ta-hashr
lakh mehman hon ye ghar nahin bharne wale
tegh-o-KHanjar se na jhagDa sar-o-gardan ka miTa
chal diye moD ke munh faisla karne wale
naza mein kya nazar aata hai koi barq-e-jamal
aankhen kar lete hain kyun band ye marne wale
kabhi daghon ke chaman par bhi nazar hasrat se
o mere phulon mein phulon se sanwarne wale
jab main kahta hun ki marta hun to kahti hai ajal
mar bhi chuk ab kahin o roz ke marne wale
naza ka waqt jo guzra to KHushi kya is ki
aise sadme abhi kitne hain guzarne wale
aasman par jo sitare nikal aae to 'amir'
yaad aae mujhe dagh apne ubharne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.