ye kis be-dard kis zalim par apna dam nikalta hai
ye kis be-dard kis zālim par apnā dam nikaltā hai
ye rah rah kar kalejā chuTkiyoñ se kaun maltā hai
tire bīmār kā kaam ab baḌī mushkil se chaltā hai
ki dard uTh kar badalvātā hai tab karvaT badaltā hai
bahār ā-pahuñchī hai shāyad ki dāmān-o-garebāñ meñ
ba-ham ye bahs hai dekheñ ki kaun aage nikaltā hai
zarūr aafat koī aa.ī hai dil par varna ai hamdam
taḌaptā loTtā kyuuñ aañkh se aañsū nikaltā hai
tirā bīmār ai īsā-nafas bigḌā hai ab aisā
sambhālā bhī sambhāle aa ke to vo kab sambhaltā hai
hameñ dhaḌkā hai aisā us ke uTh jaane kā mahfil se
badal jaatā hai rañg apnā jo vo zaanū badaltā hai
hinā kyuuñ dekh kar us ko pisī jaatī hai gulshan meñ
lahū ushshāq kā maltā hai mehñdī kab vo maltā hai
chhiḌakte haiñ vo afshāñ gesūoñ par ḳhair ho dil kī
musāfir chhāoñ meñ tāroñ ke ghar se chal nikaltā hai
ḳhudā bhī ājizoñ kī ājizī suntā hai mahshar meñ
baḌī sarkār meñ darbār meñ ye uzr chaltā hai
rulā detī haiñ hañstī sūrateñ un ḳhūb-rūyoñ kī
ye tifl-e-ashk inhīñ pyāre khilaunoñ par machaltā hai
ye kis kī garmiyoñ se phuñk rahī hai sham.a mahfil meñ
ki parvāna paroñ se shab ko pañkhā roz jhaltā hai
zarā sī jaan hai par dil jigar parvāne kā dekho
ki jaltī aag meñ kis shauq se gir gir ke jaltā hai
jo kahtā huuñ ki merā dam nikaltā hai to kahte haiñ
hamāre vasl kā armān to yūñhī nikaltā hai
tumhārī garmiyāñ aafat haiñ hijr-o-vasl donoñ meñ
koī dozaḳh meñ phuktā hai koī jannat meñ jaltā hai
ajab taqdīr paa.ī hai 'amīr' is dār-e-duniyā ne
nahīñ aatā phir is ghar meñ jo is ghar se nikaltā hai
ye kis be-dard kis zalim par apna dam nikalta hai
ye rah rah kar kaleja chuTkiyon se kaun malta hai
tere bimar ka kaam ab baDi mushkil se chalta hai
ki dard uTh kar badalwata hai tab karwaT badalta hai
bahaar aa-pahunchi hai shayad ki daman-o-gareban mein
ba-ham ye bahs hai dekhen ki kaun aage nikalta hai
zarur aafat koi aai hai dil par warna ai hamdam
taDapta loTta kyun aankh se aansu nikalta hai
tera bimar ai isa-nafas bigDa hai ab aisa
sambhaala bhi sambhaale aa ke to wo kab sambhalta hai
hamein dhaDka hai aisa us ke uTh jaane ka mahfil se
badal jata hai rang apna jo wo zanu badalta hai
hina kyun dekh kar us ko pisi jati hai gulshan mein
lahu ushshaq ka malta hai mehndi kab wo malta hai
chhiDakte hain wo afshan gesuon par KHair ho dil ki
musafir chhaon mein taron ke ghar se chal nikalta hai
KHuda bhi aajizon ki aajizi sunta hai mahshar mein
baDi sarkar mein darbar mein ye uzr chalta hai
rula deti hain hansti suraten un KHub-ruyon ki
ye tifl-e-ashk inhin pyare khilaunon par machalta hai
ye kis ki garmiyon se phunk rahi hai shama mahfil mein
ki parwana paron se shab ko pankha roz jhalta hai
zara si jaan hai par dil jigar parwane ka dekho
ki jalti aag mein kis shauq se gir gir ke jalta hai
jo kahta hun ki mera dam nikalta hai to kahte hain
hamare wasl ka arman to yunhi nikalta hai
tumhaari garmiyan aafat hain hijr-o-wasl donon mein
koi dozaKH mein phukta hai koi jannat mein jalta hai
ajab taqdir pai hai 'amir' is dar-e-duniya ne
nahin aata phir is ghar mein jo is ghar se nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.