achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai
achchhe iisā ho marīzoñ kā ḳhayāl achchhā hai
ham mare jaate haiñ tum kahte ho haal achchhā hai
aarzū vasl kī achchhī ye ḳhayāl achchhā hai
haa.e puurā nahīñ hotā hai savāl achchhā hai
naza.a meñ maiñ huuñ vo kahte haiñ ki ḳhairiyat hai
phir burā hotā hai kaisā jo ye haal achchhā hai
tujh se māñgūñ maiñ tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e
sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
yād-e-vasl aa.ī to dil se ye kahā hasrat ne
us ko siine se lagā rakh ye ḳhayāl achchhā hai
ek se ek hasīnoñ meñ hai achchhā lekin
hatthe chaḌh jaa.e jo apnī vahī maal achchhā hai
phuul hoñ ki na hoñ chhāoñ ghanī ho jis meñ
har musāfir kī nazar meñ vo nihāl achchhā hai
dekh le bulbul-o-parvāna kī betābī ko
hijr achchhā na hasīnoñ ko visāl achchhā hai
achchhī hālat pe kisī kī nahīñ rotā koī
āñkheñ kyuuñ rotī haiñ phir dil kā jo haal achchhā hai
tum zabāñ se to burā kahte ho mere dil ko
chitvanoñ kī to suno kahtī haiñ maal achchhā hai
rāteñ achchhī haiñ din achchhe haiñ mahīne achchhe
achchhe ma.ashūq se sohbat ho to saal achchhā hai
donoñ ā.īne haiñ us meñ hai raqīb is meñ habīb
ḳhvāb-e-ma.ashūq se āshiq kā ḳhayāl achchhā hai
chiiz māñge kī ho achchhī bhī to kis masraf kī
ho burā bhī magar apnā ho to maal achchhā hai
chaudhvīñ saal meñ hai nām-e-ḳhudā duḳhtar-e-raz
paḌh de qaazī kaho do bol ye saal achchhā hai
vaa.iz us kī sī adā.eñ to nahīñ hūroñ meñ
ham ne taslīm kiyā husn-o-jamāl achchhā hai
aa gayā us kā tasavvur to pukārā ye shauq
dil meñ jam jaaye ilāhī ye ḳhayāl achchhā hai
jis kā anjām musībat vo ḳhushī bhī hai burī
jis kā anjām ḳhushī ho vo malāl achchhā hai
āñkheñ dikhlāte ho joban to dikhāo sāhib
vo alag bāñdh ke rakhā hai jo maal achchhā hai
vo udhar aks idhar beach meñ hai ā.īna
bahs ye chhiḌ ga.ī hai kis kā jamāl achchhā hai
dahan-e-zaḳhm meñ har qatra-e-ḳhūñ hai yāqūt
terī talvār ke beḌe kā ugaal achchhā hai
māh-e-kāmil mah-e-nau donoñ hasīñ haiñ lekin
ik zarā sun jo hai kam is se hilāl achchhā hai
haa.e buuTā sā vo qadhā.e vo ruḳh vo joban
phuul phal jis ke hoñ achchhe vo nihāl achchhā hai
hasrateñ ḳhuun ke dariyā hī meñ taḌpeñ to bhalī
machhliyoñ ke liye maujoñ hī kā jaal achchhā hai
shoḳhiyāñ vasl meñ kartī haiñ jo dil ko māyūs
sharm detī hai tasallī ki ma.aal achchhā hai
barq agar garmī-e-raftār meñ achchhī hai 'amīr'
garmī-e-husn meñ vo barq-jamāl achchhā hai
achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai
hum mare jate hain tum kahte ho haal achchha hai
aarzu wasl ki achchhi ye KHayal achchha hai
hae pura nahin hota hai sawal achchha hai
naza mein main hun wo kahte hain ki KHairiyat hai
phir bura hota hai kaisa jo ye haal achchha hai
tujh se mangun main tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
yaad-e-wasl aai to dil se ye kaha hasrat ne
us ko sine se laga rakh ye KHayal achchha hai
ek se ek hasinon mein hai achchha lekin
hatthe chaDh jae jo apni wahi mal achchha hai
phul hon ki na hon chhaon ghani ho jis mein
har musafir ki nazar mein wo nihaal achchha hai
dekh le bulbul-o-parwana ki betabi ko
hijr achchha na hasinon ko visal achchha hai
achchhi haalat pe kisi ki nahin rota koi
aankhen kyun roti hain phir dil ka jo haal achchha hai
tum zaban se to bura kahte ho mere dil ko
chitwanon ki to suno kahti hain mal achchha hai
raaten achchhi hain din achchhe hain mahine achchhe
achchhe mashuq se sohbat ho to sal achchha hai
donon aaine hain us mein hai raqib is mein habib
KHwab-e-mashuq se aashiq ka KHayal achchha hai
chiz mange ki ho achchhi bhi to kis masraf ki
ho bura bhi magar apna ho to mal achchha hai
chaudhwin sal mein hai nam-e-KHuda duKHtar-e-raz
paDh de qazi kaho do bol ye sal achchha hai
waiz us ki si adaen to nahin huron mein
hum ne taslim kiya husn-o-jamal achchha hai
aa gaya us ka tasawwur to pukara ye shauq
dil mein jam jaye ilahi ye KHayal achchha hai
jis ka anjam musibat wo KHushi bhi hai buri
jis ka anjam KHushi ho wo malal achchha hai
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahib
wo alag bandh ke rakha hai jo mal achchha hai
wo udhar aks idhar beach mein hai aaina
bahs ye chhiD gai hai kis ka jamal achchha hai
dahan-e-zaKHm mein har qatra-e-KHun hai yaqut
teri talwar ke beDe ka ugal achchha hai
mah-e-kaamil mah-e-nau donon hasin hain lekin
ek zara sun jo hai kam is se hilal achchha hai
hae buTa sa wo qadhae wo ruKH wo joban
phul phal jis ke hon achchhe wo nihaal achchha hai
hasraten KHun ke dariya hi mein taDpen to bhali
machhliyon ke liye maujon hi ka jal achchha hai
shoKHiyan wasl mein karti hain jo dil ko mayus
sharm deti hai tasalli ki maal achchha hai
barq agar garmi-e-raftar mein achchhi hai 'amir'
garmi-e-husn mein wo barq-jamal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.