wo bana rahe hain be-KHud mujhe samne biTha ke
Interesting Fact
فلم ’’ہمراہی‘‘ کے نغمہ ’’وہ چلے جھٹک کے دامن‘‘ کی طرز پر۔ علاوہ ازیں اسمعٰیل آزاد قوال نے اپنی آواز دی ہے۔
vo banā rahe haiñ be-ḳhud mujhe sāmne biThā ke
kabhī jaam se pilā ke kabhī aañkh se pilā ke
ye sharāb hai ḳhudī kī ye nasha hai bandagī kā
ise jo bhī piinā chāhe vo piye nazar bachā ke
tirī aañkh se jo Tapkī vo to ho ga.ī tabarruk
koī pī gayā churā ke koī pī gayā chhupā ke
mirī zindagī meñ saaqī koī raat aisī aa.e
tire mai-kade se lauTūñ maiñ sharāb meñ nahā ke
jise vo pilā.eñ 'anvar' use baḳhsh deñ judā.ī
sabhī jānte haiñ un ko vo habīb haiñ ḳhudā ke
wo bana rahe hain be-KHud mujhe samne biTha ke
kabhi jam se pila ke kabhi aankh se pila ke
ye sharab hai KHudi ki ye nasha hai bandagi ka
ise jo bhi pina chahe wo piye nazar bacha ke
teri aankh se jo Tapki wo to ho gai tabarruk
koi pi gaya chura ke koi pi gaya chhupa ke
meri zindagi mein saqi koi raat aisi aae
tere mai-kade se lauTun main sharab mein naha ke
jise wo pilaen 'anwar' use baKHsh den judai
sabhi jaante hain un ko wo habib hain KHuda ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.