yahi mera mazhab yahi mera iman mera jism ghazi meri ruh ghazi
yahi mera mazhab yahi mera iman mera jism ghazi meri ruh ghazi
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
شیخ لعل قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
yahī merā maz.hab yahī merā īmāñ merā jism ġhāzī mirī ruuh ġhāzī
tumhāre tasavvur ke sadqe meñ aaqā nazar bhī namāzī hai dil bhī namāzī
ḳhudā kī qasam koī dukhiyā savālī madīna se aatā nahīñ haath ḳhālī
baḌe banda-parvar haiñ yasrib ke vaalī bahut 'aam hai un kī banda-navāzī
yahīñ se faqīroñ ko miltī hai merī yahīñ ḳhvājgī hai yahīñ dast-gīrī
dar-e-mustafā phir dar-e-mustafā hai ḳhudārā lagā de muqaddar kī baazī
kahūñ kyā maiñ apne dukhe dil kī hālat na jiine kī mohlat na marne kī fursat
yahī vaqt hai ai shafī-e’-qiyāmat dikhā dījiye shān-e-muflis-navāzī
ye sach hai ki duniyā muḳhālif hai 'anvar' magar mere haamī haiñ mahbūb-e-dāvar
mujhe kyā Darā.eñge mere muḳhālif ki marne se Dartā nahīñ koī ġhāzī
yahi mera mazhab yahi mera iman mera jism ghazi meri ruh ghazi
tumhaare tasawwur ke sadqe mein aaqa nazar bhi namazi hai dil bhi namazi
KHuda ki qasam koi dukhiya sawali madina se aata nahin hath KHali
baDe banda-parwar hain yasrib ke wali bahut 'am hai un ki banda-nawazi
yahin se faqiron ko milti hai meri yahin KHwajgi hai yahin dast-giri
dar-e-mustafa phir dar-e-mustafa hai KHudara laga de muqaddar ki bazi
kahun kya main apne dukhe dil ki haalat na jine ki mohlat na marne ki fursat
yahi waqt hai ai shafi-e’-qiyamat dikha dijiye shan-e-muflis-nawazi
ye sach hai ki duniya muKHalif hai 'anwar' magar mere hami hain mahbub-e-dawar
mujhe kya Daraenge mere muKHalif ki marne se Darta nahin koi ghazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.