har jagah ham ko havā-e-jalva-e-jānāna hai
baaġh meñ bulbul dil apnā bazm meñ parvāna hai
sair meñ hai ruuh vaqt-e-ḳhvāb dil siine meñ qaid
sham.a uḌtī phirtī hai fānūs meñ parvāna hai
bāda-e-'aish jahāñ ko is meñ kyuuñ kar ho qarār
dil mire siine meñ ik TuuTā huā paimāna hai
jo makāñ hai vo gharauñde kī tarah miT jā.egā
mun’imo shauq-e-’imārat-bāzī tiflāna hai
husn ke tālib nahīñ rakhte tamīz-e-kufr-o-dīñ
ek parvāne ko sham.a kā'ba-o-but-ḳhāna hai
har taraf se sū-e-ka'aba hai ruḳh qibla-numā
āshnā-e-haq hamesha ḳhalq se begāna hai
jis hasīñ kā dhyān aayā dil kā mālik ho gayā
be-takalluf mehmāñ us ghar meñ sāhab-e-ḳhāna hai
hai junūñ meñ bhī za.īfoñ kī hameñ dāvat pasand
morchoñ kā rizq hai zanjīr kā jo daana hai
tark-e-duniyā hai jise kahte haiñ āzādī 'asīr'
jo giraftār-e-’alā.eq hai yahāñ dīvāna hai
har jagah hum ko hawa-e-jalwa-e-jaanana hai
bagh mein bulbul dil apna bazm mein parwana hai
sair mein hai ruh waqt-e-KHwab dil sine mein qaid
shama uDti phirti hai fanus mein parwana hai
baada-e-'aish jahan ko is mein kyun kar ho qarar
dil mere sine mein ek TuTa hua paimana hai
jo makan hai wo gharaunde ki tarah miT jaega
mun’imo shauq-e-’imarat-bazi tiflana hai
husn ke talib nahin rakhte tamiz-e-kufr-o-din
ek parwane ko shama ka'ba-o-but-KHana hai
har taraf se su-e-ka'aba hai ruKH qibla-numa
aashna-e-haq hamesha KHalq se begana hai
jis hasin ka dhyan aaya dil ka malik ho gaya
be-takalluf mehman us ghar mein sahab-e-KHana hai
hai junun mein bhi zaifon ki hamein dawat pasand
morchon ka rizq hai zanjir ka jo dana hai
tark-e-duniya hai jise kahte hain aazadi 'asir'
jo giraftar-e-’alaeq hai yahan diwana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.