agar KHuda hai to main nahin hun agar hun main to KHuda nahin hai
agar KHuda hai to main nahin hun agar hun main to KHuda nahin hai
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
agar ḳhudā hai to maiñ nahīñ huuñ agar huuñ maiñ to ḳhudā nahīñ hai
hai is qadar tañg rāh-e-ulfat ki is meñ do kī jagah nahīñ
ḳhudā meñ maiñ huuñ ḳhudā hai mujh meñ yahī hai vahdat yahī hai kasrat
yahī kaa.ī kā hai mu'amma isī meñ sab kuchh hai kyā nahīñ hai
binā samajh kar kiyā jo sajda na jaane aa.ī nidā kidhar se
tumheñ mubārak ho aisā sajda hameñ ye sajda ravā nahīñ hai
hai vo 'ibādat maqām-e-'ibrat ki sair jis se na ho tabī'at
na kiije aisī kabhī 'ibādat ki us kā bhūkā ḳhudā nahīñ hai
rah tarīqat meñ aa ke dekho yahīñ pe khulte haiñ rāz-e-bātin
ye yaad rakkho ki us se haT kar koī bhī kāmil huā nahīñ hai
jhukā rahā huuñ maiñ apne sar ko ḳhudā-rā kuchh is kī laaj rakhnā
ye sar vo hai jo ba-juz tumhāre kisī ke aage jhukā nahīñ hai
paḌhā namāzeñ rakhā bhī roza qur.ān kī bhī kiyā tilāvat
magar jo rāz-e-ḳhafī thā 'rizvāñ' banā vo murshid khullā nahīñ hai
agar KHuda hai to main nahin hun agar hun main to KHuda nahin hai
hai is qadar tang rah-e-ulfat ki is mein do ki jagah nahin
KHuda mein main hun KHuda hai mujh mein yahi hai wahdat yahi hai kasrat
yahi kai ka hai mu'amma isi mein sab kuchh hai kya nahin hai
bina samajh kar kiya jo sajda na jaane aai nida kidhar se
tumhein mubarak ho aisa sajda hamein ye sajda rawa nahin hai
hai wo 'ibaadat maqam-e-'ibrat ki sair jis se na ho tabi'at
na kije aisi kabhi 'ibaadat ki us ka bhuka KHuda nahin hai
rah tariqat mein aa ke dekho yahin pe khulte hain raaz-e-baatin
ye yaad rakkho ki us se haT kar koi bhi kaamil hua nahin hai
jhuka raha hun main apne sar ko KHuda-ra kuchh is ki laj rakhna
ye sar wo hai jo ba-juz tumhaare kisi ke aage jhuka nahin hai
paDha namazen rakha bhi roza quran ki bhi kiya tilawat
magar jo raaz-e-KHafi tha 'rizwan' bana wo murshid khulla nahin hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.