apni KHudi ke hum hain pujari
apnī ḳhudī ke ham haiñ pujārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
aise pujārī dozaḳh pe bhārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
donoñ jahāñ meñ ham sab se a'alā
qurāñ meñ dekho is kā havāla
allāh nabī kī shakl hamārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
hamrāz us ke vo raaz apnā
ham us ke sapne vo apnā sapnā
ab rañg laa.ī qismat hamārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
dozaḳh meñ jā kar aag bujhā.eñ
jannat meñ jā kar aag lagā.eñ
ham un ke mālik marzī hamārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
allāh nabī par īmān apnā
dost banā hai shaitān apnā
chhā.ī hai ham par rahmat-e-bārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
apne sivā jab koī nahīñ hai
koī nahīñ par apnā yaqīñ hai
aise nahīñ par tan man vaarī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
ḳhud hī musavvir tasvīr ḳhud ham
ham ḳhud hī nukta tahrīr ḳhud ham
ḳhud hī nishāna ḳhud hī shikārī
chitt bhī hamārī paT bhī hamārī
kasrat meñ bū hai vahdat kī 'rizvāñ'
vahdat meñ lazzat vaslat kī rizvāñ
ḳhalvat-kade meñ bād-e-bahārī
chitt bhī hamār paT bhī hamārī
apni KHudi ke hum hain pujari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
aise pujari dozaKH pe bhaari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
donon jahan mein hum sab se a'ala
quran mein dekho is ka hawala
allah nabi ki shakl hamari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
hamraaz us ke wo raaz apna
hum us ke sapne wo apna sapna
ab rang lai qismat hamari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
dozaKH mein ja kar aag bujhaen
jannat mein ja kar aag lagaen
hum un ke malik marzi hamari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
allah nabi par iman apna
dost bana hai shaitan apna
chhai hai hum par rahmat-e-bari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
apne siwa jab koi nahin hai
koi nahin par apna yaqin hai
aise nahin par tan man wari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
KHud hi musawwir taswir KHud hum
hum KHud hi nukta tahrir KHud hum
KHud hi nishana KHud hi shikari
chitt bhi hamari paT bhi hamari
kasrat mein bu hai wahdat ki 'rizwan'
wahdat mein lazzat waslat ki rizwan
KHalwat-kade mein baad-e-bahaari
chitt bhi hamar paT bhi hamari
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.