badal sakti hain kab taqdir-e-alam unki tadbiren
badal saktī haiñ kab taqdīr-e-a.alam un kī tadbīreñ
ḳhudā ke haath meñ ḳhud haiñ ḳhudī vāloñ kī taqdīreñ
ka.e jaa.eñ mujhe tahlīl-e-āzādī kī tadbīreñ
ghuleñge paañv to ḳhud hī utar jā.eñgī zanjīreñ
abhī mahram nahīñ to ashk-o-āh-e-ākHir-e-shab kā
hayāt-afroz haiñ āb-o-havā-e-dil kī tāsīreñ
ye duniyā-e-majāz ā.īnā-kHāna hai haqīqat kā
chhupā kar apnī sūrat pheñk dī haiñ apnī tasvīreñ
mirī ḳhāmoshiyoñ par mujh ko duniyā ta.an detī hai
ye kyā jaane ki chup rah kar bhī kī jaatī haiñ taqrīreñ
ba-qadr-e-fitrat-e-insāniyat 'sīmāb' nādim huuñ
maiñ dānista nahīñ karatā huuñ ho jaatī haiñ taqsīreñ
badal sakti hain kab taqdir-e-alam un ki tadbiren
KHuda ke hath mein KHud hain KHudi walon ki taqdiren
kae jaen mujhe tahlil-e-azadi ki tadbiren
ghulenge panw to KHud hi utar jaengi zanjiren
abhi mahram nahin to ashk-o-ah-e-akHir-e-shab ka
hayat-afroz hain aab-o-hawa-e-dil ki tasiren
ye duniya-e-majaz aaina-kHana hai haqiqat ka
chhupa kar apni surat phenk di hain apni taswiren
meri KHamoshiyon par mujh ko duniya tan deti hai
ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jati hain taqriren
ba-qadr-e-fitrat-e-insaniyat 'simab' nadim hun
main danista nahin karata hun ho jati hain taqsiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.