baitul-haram ke sath na bait-us-sanam ke sath
baitul-haram ke saath na bait-us-sanam ke saath
jiitā huuñ ik haqīqat-e-be-kaif-o-kam ke saath
mahsūs ye huā mujhe ehsās-e-ġham ke saath
maiñ us ke dam ke saath huuñ vo mere dam ke saath
aañsū sambhal ke poñchhi.e bīmār-e-ishq huuñ
dil bhī lagā huā hai merī chashm-e-nam ke saath
vo yaad kar ke ro.eñge mujh ko tamām umr
ye un ke saare naaz haiñ mere hī dam ke saath
manshā-e-yār kā huuñ khilaunā banā huā
vo khelte haiñ mere vajūd-o-adam ke saath
huuñ har ma.āl-e-kār se be-fikr-o-mutma.in
dāman bandhā hai dāman-e-turk-e-a.ajam ke saath
mumkin nahīñ vo hashr meñ rusvā kare mujhe
jiske karam se guzrī hai ab tak bharam ke saath
mujh be-amal ko ahl-e-amal meñ na DhūñDiye
rahtā huuñ us ke dāman-e-fazl-o-karam ke saath
'kāmil' ba-roz-e-hashr mire sajda-hā-e-shauq
mash.hūr hoñge yaar ke naqsh-e-qadam ke saath
baitul-haram ke sath na bait-us-sanam ke sath
jita hun ek haqiqat-e-be-kaif-o-kam ke sath
mahsus ye hua mujhe ehsas-e-gham ke sath
main us ke dam ke sath hun wo mere dam ke sath
aansu sambhal ke ponchhie bimar-e-ishq hun
dil bhi laga hua hai meri chashm-e-nam ke sath
wo yaad kar ke roenge mujh ko tamam umr
ye un ke sare naz hain mere hi dam ke sath
mansha-e-yar ka hun khilauna bana hua
wo khelte hain mere wajud-o-adam ke sath
hun har maal-e-kar se be-fikr-o-mutmain
daman bandha hai daman-e-turk-e-ajam ke sath
mumkin nahin wo hashr mein ruswa kare mujhe
jiske karam se guzri hai ab tak bharam ke sath
mujh be-amal ko ahl-e-amal mein na DhunDiye
rahta hun us ke daman-e-fazl-o-karam ke sath
'kaamil' ba-roz-e-hashr mere sajda-ha-e-shauq
mashhur honge yar ke naqsh-e-qadam ke sath
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 253)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.