damanon ka na pata hai na garebanon ka
dāmanoñ kā na patā hai na garebānoñ kā
hashr kahte haiñ jise shahar hai uryānoñ kā
ghar hai allāh kā ghar be-sar-o-sāmānoñ kā
pāsbānoñ kā yahāñ kaam na darbānoñ kā
kHātir-e-ranj-o-ġham-o-daur se fursat hī nahīñ
mezbāñ ho ke huā maiñ unhīñ mehmānoñ kā
kab kisī aur kī jam saktī hai us par paTrī
tausan-e-nāz hai ḳhud-karda tirī rānoñ kā
gor-e-kisrā-o-farīdūñ pe jo pahuñchūñ pūchhūñ
tum yahāñ sote ho kyā haal hai aivānoñ kā
un ke hukmoñ kī ho ta.amīl kahāñ tak mujh se
Dher saqqoñ kā hai ambār hai parvānoñ kā
kaun gul chehra-e-rañgīñ kā nahīñ dīvāna
baaġh ġhuncha hai tire chaak garebānoñ kā
qaht-e-rozī ye jahāñ meñ hai ki kahte haiñ hunūd
ramazāñ ḳhuub mahīna hai musalmānoñ kā
kyā likheñ yaar ko naama ko naqāhat se yahāñ
fāsla kHāma-o-kāġhaz meñ hai maidānoñ kā
maan.e bāda-kashī mujh ko haiñ nā-haq vaa.iz
ḳharch kyā hotā hai un halq ke darbānoñ kā
sabza ḳhat ne ghaTā dī tire aariz kī bahār
thā jo laale kā chaman khet hai ab dhānoñ kā
hashr meñ qufl bhī rizvāñ ne na kholā thā abhī
jā paḌā ḳhuld meñ Daakā mere armānoñ kā
maujeñ dariyā meñ jo uThtī huī dekhīñ samjhā
ye bhī majma.a hai tire chāk-garebānoñ kā
sunñe vāloñ ke na kis tarah phañseñ tā.ir-e-dil
daam sayyād kā lachhā hai tirī tānoñ kā
arsa-e-hastī-o-tūl-e-shab-e-gor-o-mahshar
buad hai banda-o-rab meñ abhī maidānoñ kā
tiir par tiir lagātā hai kamāñdār-e-falak
ḳhāna-e-dil meñ hujūm aaj hai mehmānoñ kā
dar-e-jānāñ se nikal kar maiñ phañsā zindāñ meñ
gard halqa pai in.aam hai darbānoñ kā
ishq-e-ruḳhsār meñ iqbāl-e-sikandar paayā
ā.īna dast nagar hai tire hairānoñ kā
laal mūbāf sanam gesū-e-shab-gūñ meñ na Daal
ḳhuun ho jā.egā do chaar musalmānoñ kā
toḌ kar bāl-o-par us ke jo banāyā hai chañvar
hai havā ḳhvāh humā tere magas-rānoñ kā
bismiloñ kī dam-e-ruḳhsat hai mudārāt zarūr
zohra paanī huā jaatā hai namak-dānoñ kā
aadmī ġhairoñ ke iġhvā ne na rakhā un ko
khel saarā hai bigāḌā unhīñ shaitānoñ kā
be-ḳhudī aaTh pahar gum ye mujhe rakhtī hai
din ko shab raat ko huuñ ḳhvāb nigahbānoñ kā
mere a.azā ne phañsāyā hai mujhe isyāñ meñ
shikva āñkhoñ kā karūñ yā maiñ gilā kānoñ kā
qadar-dāñ chāhiye dīvān hamārā hai 'amīr'
muntaḳhab 'mus.hafī'-o-'mīr' ke dīvānoñ kā
damanon ka na pata hai na garebanon ka
hashr kahte hain jise shahar hai uryanon ka
ghar hai allah ka ghar be-sar-o-samanon ka
pasbanon ka yahan kaam na darbanon ka
kHatir-e-ranj-o-gham-o-daur se fursat hi nahin
mezban ho ke hua main unhin mehmanon ka
kab kisi aur ki jam sakti hai us par paTri
tausan-e-naz hai KHud-karda teri ranon ka
gor-e-kisra-o-faridun pe jo pahunchun puchhun
tum yahan sote ho kya haal hai aiwanon ka
un ke hukmon ki ho tamil kahan tak mujh se
Dher saqqon ka hai ambar hai parwanon ka
kaun gul chehra-e-rangin ka nahin diwana
bagh ghuncha hai tere chaak garebanon ka
qaht-e-rozi ye jahan mein hai ki kahte hain hunud
ramazan KHub mahina hai musalmanon ka
kya likhen yar ko nama ko naqahat se yahan
fasla kHama-o-kaghaz mein hai maidanon ka
mane baada-kashi mujh ko hain na-haq waiz
KHarch kya hota hai un halq ke darbanon ka
sabza KHat ne ghaTa di tere aariz ki bahaar
tha jo lale ka chaman khet hai ab dhanon ka
hashr mein qufl bhi rizwan ne na khola tha abhi
ja paDa KHuld mein Daka mere armanon ka
maujen dariya mein jo uThti hui dekhin samjha
ye bhi majma hai tere chaak-garebanon ka
sunne walon ke na kis tarah phansen tair-e-dil
dam sayyaad ka lachha hai teri tanon ka
arsa-e-hasti-o-tul-e-shab-e-gor-o-mahshar
buad hai banda-o-rab mein abhi maidanon ka
tir par tir lagata hai kamandar-e-falak
KHana-e-dil mein hujum aaj hai mehmanon ka
dar-e-jaanan se nikal kar main phansa zindan mein
gard halqa pai inam hai darbanon ka
ishq-e-ruKHsar mein iqbaal-e-sikandar paya
aaina dast nagar hai tere hairanon ka
lal mubaf sanam gesu-e-shab-gun mein na Dal
KHun ho jaega do chaar musalmanon ka
toD kar baal-o-par us ke jo banaya hai chanwar
hai hawa KHwah huma tere magas-ranon ka
bismilon ki dam-e-ruKHsat hai mudaraat zarur
zohra pani hua jata hai namak-danon ka
aadmi ghairon ke ighwa ne na rakha un ko
khel sara hai bigaDa unhin shaitanon ka
be-KHudi aaTh pahar gum ye mujhe rakhti hai
din ko shab raat ko hun KHwab nigahbanon ka
mere aaza ne phansaya hai mujhe isyan mein
shikwa aankhon ka karun ya main gila kanon ka
qadar-dan chahiye diwan hamara hai 'amir'
muntaKHab 'mushafi'-o-'mir' ke diwanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.