yan dil mein KHayal aur hai wan madd-e-nazar aur
yaañ dil meñ ḳhayāl aur hai vaañ madd-e-nazar aur
hai haal tabī’at kā idhar aur udhar aur
har vaqt hai chitvan tirī ai sho.abada gar aur
ik dam meñ mizāj aur hai ik pal meñ nazar aur
nākārah-o-nādān koī mujh sā bhī na hogā
aayā na ba-juz be-hunarī koī hunar aur
dil de ke liyā rañj-o-alam vaa.e rī qismat
ham samjhe the kuchh aur huā haaye magar aur
jiitā na jiye koī bhī jāñ-bar na ho koī
do-chār sitamgār hoñ tere se agar aur
aur aur haiñ aap aap haiñ kyā aap se nisbat
hoñ laakh zamāne meñ agar rashk-e-qamar aur
ai 'dāġh' mai-'ishq se kyā zahar ko nisbat
hai is meñ asar aur vo rakhtā hai asar aur
yan dil mein KHayal aur hai wan madd-e-nazar aur
hai haal tabi’at ka idhar aur udhar aur
har waqt hai chitwan teri ai shoabada gar aur
ek dam mein mizaj aur hai ek pal mein nazar aur
nakarah-o-nadan koi mujh sa bhi na hoga
aaya na ba-juz be-hunari koi hunar aur
dil de ke liya ranj-o-alam wae ri qismat
hum samjhe the kuchh aur hua haye magar aur
jita na jiye koi bhi jaan-bar na ho koi
do-chaar sitamgar hon tere se agar aur
aur aur hain aap aap hain kya aap se nisbat
hon lakh zamane mein agar rashk-e-qamar aur
ai 'dagh' mai-'ishq se kya zahar ko nisbat
hai is mein asar aur wo rakhta hai asar aur
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.