KHak se ta-ba-kahkashan humne to jab kiya safar
ḳhaak se tā-ba-kahkashāñ ham ne to jab kiyā safar
'ishq milā qadam-qadam husn milā nazar-nazar
ai dil-e-be-qarār aa ro leñ taḌap leñ jaag leñ
niiñd kī fikr kyā abhī raat milī hai be-sahar
dil se nikal ke har sadā kyuuñ na diloñ meñ Duub jaa.e
saaz mirā latīf hai naġhma tirā latīf-tar
kūcha-e-dost dekh kar ashk-e-vafā Tapak paḌe
chun le koī jo chun sake phuul paḌe haiñ ḳhaak par
sub.h-e-azal se maiñ chalā shām-e-abad tak aa gayā
’umr-e-darāz-e-shauq hai merī hayāt-e-muḳhtasar
vus'at-e-kā.ināt kī sair kā mā-hasal to hai
tere hī dar pe aa.egā kal ye thakā huā bashar
apne hī dost kī to haiñ jitnī haiñ ye nishāniyāñ
dair mile to sar jhukā ka.aba mile salām kar
vā'da-e-dost kuchh nahīñ ek musalsal aarzū
raat guzar ga.ī to phir raat kā intizār kar
husn bhī sivā milī 'ishq se dil ko raushnī
tum ho charāġh-e-anjuman maiñ huuñ charāġh-e-rah-guzar
chashm-e-karam girāñ sahī chashm-e-karam na kījiye
ek nigāh to kabhī ‘darshan’-e-kHasta-hāl par
KHak se ta-ba-kahkashan hum ne to jab kiya safar
'ishq mila qadam-qadam husn mila nazar-nazar
ai dil-e-be-qarar aa ro len taDap len jag len
nind ki fikr kya abhi raat mili hai be-sahar
dil se nikal ke har sada kyun na dilon mein Dub jae
saz mera latif hai naghma tera latif-tar
kucha-e-dost dekh kar ashk-e-wafa Tapak paDe
chun le koi jo chun sake phul paDe hain KHak par
subh-e-azal se main chala sham-e-abad tak aa gaya
’umr-e-daraaz-e-shauq hai meri hayat-e-muKHtasar
wus'at-e-kainat ki sair ka ma-hasal to hai
tere hi dar pe aaega kal ye thaka hua bashar
apne hi dost ki to hain jitni hain ye nishaniyan
dair mile to sar jhuka kaba mile salam kar
wa'da-e-dost kuchh nahin ek musalsal aarzu
raat guzar gai to phir raat ka intizar kar
husn bhi siwa mili 'ishq se dil ko raushni
tum ho charagh-e-anjuman main hun charagh-e-rah-guzar
chashm-e-karam giran sahi chashm-e-karam na kijiye
ek nigah to kabhi ‘darshan’-e-kHasta-haal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.