wo jis ki hama-agahi mein har raaz-e-nihan-e-hasti hai
vo jis kī hama-āgāhī meñ har rāz-e-nihān-e-hastī hai
vo jis ke ishāroñ par raqsāñ 'ālam kī bulandī pastī hai
vo jis kī bashāshat rahtī hai har ruuh fazā hariyālī par
vo jis kī sanāyeñ hotī haiñ gulzār meñ Dālī-Dālī par
vo jis ke nafs kī garmī se har ġhuncha-e-rañgīñ khiltā hai
vo jis ke tajallī-ḳhāne se ḳhurshed ko jalva miltā hai
vo jis kā vazīfa karte haiñ kohsār ke be-ḳhud nazzāre
vo jis ke liye sargardāñ haiñ mīsāq ke din se sayyāre
vo jis kī rahmat ke naġhme gaatī hai sabā barsātoñ meñ
vo jis kī latāfat hotī hai sardī kī suhānī rātoñ meñ
vo naam se jis ke chashmoñ meñ tahrīk-e-tarannum hotī hai
vo jis kī shagūfa-zāroñ meñ taqlīd-e-tabassum hotī hai
vo jis kā takallum barbat meñ vo jis kī ḳhamoshī ġhāroñ meñ
vo jis kī jhalak hai bijlī vo jis kī chamak hai tāroñ meñ
vo jis se ziyā.eñ miltī haiñ ummīd kī raḳhshāñ bastī ko
vo jis ne tarāne baḳhshe haiñ har parda-e-sāz-e-hastī ko
vo jis kī ḳhamoshī rātoñ ko bastī hai kushāda galiyoñ meñ
vo jis ke tabassum luTte haiñ gulzār kī kamsin kaliyoñ meñ
vo jis ko saare 'ālam meñ mahbūb shabīh-e-insāñ hai
vo jis ne kiyā paidā tujh ko nādān vahī to yazdāñ hai
wo jis ki hama-agahi mein har raaz-e-nihan-e-hasti hai
wo jis ke ishaaron par raqsan 'alam ki bulandi pasti hai
wo jis ki bashashat rahti hai har ruh faza hariyali par
wo jis ki sanayen hoti hain gulzar mein Dali-Dali par
wo jis ke nafs ki garmi se har ghuncha-e-rangin khilta hai
wo jis ke tajalli-KHane se KHurshed ko jalwa milta hai
wo jis ka wazifa karte hain kohsar ke be-KHud nazzare
wo jis ke liye sargardan hain misaq ke din se sayyare
wo jis ki rahmat ke naghme gati hai saba barsaton mein
wo jis ki latafat hoti hai sardi ki suhani raaton mein
wo nam se jis ke chashmon mein tahrik-e-tarannum hoti hai
wo jis ki shagufa-zaron mein taqlid-e-tabassum hoti hai
wo jis ka takallum barbat mein wo jis ki KHamoshi ghaaron mein
wo jis ki jhalak hai bijli wo jis ki chamak hai taron mein
wo jis se ziyaen milti hain ummid ki raKHshan basti ko
wo jis ne tarane baKHshe hain har parda-e-saz-e-hasti ko
wo jis ki KHamoshi raaton ko basti hai kushada galiyon mein
wo jis ke tabassum luTte hain gulzar ki kamsin kaliyon mein
wo jis ko sare 'alam mein mahbub shabih-e-insan hai
wo jis ne kiya paida tujh ko nadan wahi to yazdan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.