sun ai murli manohar jaan-e-jaan taswir-e-zebai
sun ai murlī manohar jān-e-jāñ tasvīr-e-zebā.ī
jagat mohan hai tū man-mohnī hai terī ra.anā.ī
tirī bansī kī tāneñ muztarib bhagtoñ ke sīnoñ meñ
tire ruḳh se ziyā-pāshī diloñ ke ābgīnoñ meñ
tirī tābāniyāñ haiñ sub.h ke tābinda aḳhtar meñ
tirī shab-rañgiyāñ haiñ shaam kī zulf-e-mu’ambar meñ
tire dāġh-e-siyah se surkH-rū gulshan meñ laala hai
tire afkār se bātin kī mahfil meñ ujālā hai
machaltī haiñ tirī rañgīñ adā.eñ marġh-zāroñ meñ
tirā partav añdherī vādiyoñ meñ kohsāroñ meñ
tire darshan se ab bhī gopiyāñ sarshār rahtī haiñ
tasavvur-kosh rahtī haiñ tabassum-kār rahtī haiñ
tū vo shai hai zamāna tujh se ġhāfil ho nahīñ saktā
tū vo daulat hai tujh ko qalb-e-fitrat kho nahīñ saktā
sun ai murli manohar jaan-e-jaan taswir-e-zebai
jagat mohan hai tu man-mohni hai teri ranai
teri bansi ki tanen muztarib bhagton ke sinon mein
tere ruKH se ziya-pashi dilon ke aabginon mein
teri tabaniyan hain subh ke tabinda aKHtar mein
teri shab-rangiyan hain sham ki zulf-e-mu’ambar mein
tere dagh-e-siyah se surkH-ru gulshan mein lala hai
tere afkar se baatin ki mahfil mein ujala hai
machalti hain teri rangin adaen margh-zaron mein
tera partaw andheri wadiyon mein kohsaron mein
tere darshan se ab bhi gopiyan sarshaar rahti hain
tasawwur-kosh rahti hain tabassum-kar rahti hain
tu wo shai hai zamana tujh se ghafil ho nahin sakta
tu wo daulat hai tujh ko qalb-e-fitrat kho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.