jab kisi mein tab-e-nazzara nahin pata hai tu
jab kisī meñ tāb-e-nazzāra nahīñ paatā hai tū
kis liye phir sāmne aane se sharmātā hai tū
ḳhvāb meñ jhallā ke tārīkī mire maqsūm kī
chhupne vaale kaun sī chilman meñ chhup jaatā hai tū
āñsuoñ meñ jhilmilātā hai tirā 'aks-e-jamīl
nuur paare dīda-e-giryāñ se barsātā hai tū
sub.h-dam ḳhurshīd kī zarrīñ kiran ke bhes meñ
baaġh kī doshīza kaliyoñ ko hañsā jaatā hai tū
chhāñv meñ tāroñ kī jab dam toḌ detī hai nigāh
kahkashāñ se niiñd ban-ban kar utar aatā hai tū
jab kabhī lagtī hai sāvan meñ ka.ī din kī jhaḌī
vādī-e-dil meñ tajallī ban ke chhā jaatā hai tū
pattī-pattī se sunā karatā huuñ terā zikr-e-ḳhair
sub.h-dam-nāk-e-kHudā kaliyoñ ko chaTkātā hai tū
TimTimāte dekhtā huuñ jab mazāroñ par charāġh
zindagī meñ zindagī kā dard ban jaatā hai tū
Dūbtā hai jab ghane bāġhoñ ke pīchhe āftāb
ban ke sannāTā bayābānoñ pe chhā jaatā hai tū
jab gulābī chāñdnī kartī hai ta.amīr-e-sahar
surḳhiyāñ ban kar lab-e-bām-e-ufuq aatā hai tū
jab ghane jañgal meñ chhā jaate haiñ bādal har taraf
har taraf se dil ke armānoñ ko taḌpātā hai tū
us kī būñdoñ se mas ho kar jo aatī hai nasīm
niiñd ke maate junūñ ko gudgudā jaatā hai tū
roz lachkā kar ufuq par mehar kī pahlī kiran
mere maidān-e-basārat se nikal jaatā hai tū
kyā mirī muztar nigāheñ haiñ tire ruḳh kī naqāb
band kar letā huuñ jab āñkheñ nazar aatā hai tū
sū-e-mashriq nuur ke chashme ubalte dekh kar
yaad karatā huuñ tujhe maiñ yaad aa jaatā hai tū
ab maiñ samjhā tere andāz-e-taġhāful kā sabab
mujh ko dar-parda rumūz-e-'ishq samjhātā hai tū
jab kisi mein tab-e-nazzara nahin pata hai tu
kis liye phir samne aane se sharmata hai tu
KHwab mein jhalla ke tariki mere maqsum ki
chhupne wale kaun si chilman mein chhup jata hai tu
aansuon mein jhilmilata hai tera 'aks-e-jamil
nur pare dida-e-giryan se barsata hai tu
subh-dam KHurshid ki zarrin kiran ke bhes mein
bagh ki doshiza kaliyon ko hansa jata hai tu
chhanw mein taron ki jab dam toD deti hai nigah
kahkashan se nind ban-ban kar utar aata hai tu
jab kabhi lagti hai sawan mein kai din ki jhaDi
wadi-e-dil mein tajalli ban ke chha jata hai tu
patti-patti se suna karata hun tera zikr-e-KHair
subh-dam-nak-e-kHuda kaliyon ko chaTkata hai tu
TimTimate dekhta hun jab mazaron par charagh
zindagi mein zindagi ka dard ban jata hai tu
Dubta hai jab ghane baghon ke pichhe aaftab
ban ke sannaTa bayabanon pe chha jata hai tu
jab gulabi chandni karti hai tamir-e-sahar
surKHiyan ban kar lab-e-baam-e-ufuq aata hai tu
jab ghane jangal mein chha jate hain baadal har taraf
har taraf se dil ke armanon ko taDpata hai tu
us ki bundon se mas ho kar jo aati hai nasim
nind ke mate junun ko gudguda jata hai tu
roz lachka kar ufuq par mehar ki pahli kiran
mere maidan-e-basarat se nikal jata hai tu
kya meri muztar nigahen hain tere ruKH ki naqab
band kar leta hun jab aankhen nazar aata hai tu
su-e-mashriq nur ke chashme ubalte dekh kar
yaad karata hun tujhe main yaad aa jata hai tu
ab main samjha tere andaz-e-taghaful ka sabab
mujh ko dar-parda rumuz-e-'ishq samjhata hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.