main us manzil mein hun ye dil ki haalat hoti jati hai
maiñ us manzil meñ huuñ ye dil kī hālat hotī jaatī hai
ki har sūrat sazā-vār-e-mohabbat hotī jaatī hai
samajh rakhā hai jis ne tum ko hāsil zindagānī kā
ḳhudā jaane tumheñ kyuuñ us se nafrat hotī jaatī hai
agar hai tere dil meñ merī ulfat kā vahī 'ālam
to phir āvāra kyuuñ merī mohabbat hotī jaatī hai
kahīñ zarre kahīñ taare kahīñ ġhunche kahīñ jugnū
mujhe us ā.īna-ḳhāna meñ hairat hotī jaatī hai
vo āġhāz-e-mohabbat ke bhī kyā din the are tauba
ki ab har shaam ik shām-e-musībat hotī jaatī hai
tumhārā kyā tumhār pūjne vāloñ meñ duniyā hai
hamārā kyā hameñ duniyā se nafrat hotī jaatī hai
mujhe majbūr-e-ulfat jaan kar tum chāhte kyā ho
maiñ jitnā dabtā jaatā huuñ shikāyat hotī jaatī hai
main us manzil mein hun ye dil ki haalat hoti jati hai
ki har surat saza-war-e-mohabbat hoti jati hai
samajh rakha hai jis ne tum ko hasil zindagani ka
KHuda jaane tumhein kyun us se nafrat hoti jati hai
agar hai tere dil mein meri ulfat ka wahi 'alam
to phir aawara kyun meri mohabbat hoti jati hai
kahin zarre kahin tare kahin ghunche kahin jugnu
mujhe us aaina-KHana mein hairat hoti jati hai
wo aaghaz-e-mohabbat ke bhi kya din the are tauba
ki ab har sham ek sham-e-musibat hoti jati hai
tumhaara kya tumhaar pujne walon mein duniya hai
hamara kya hamein duniya se nafrat hoti jati hai
mujhe majbur-e-ulfat jaan kar tum chahte kya ho
main jitna dabta jata hun shikayat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.