jis ka har zarra nazar aata hai saudai mujhe
jis kā har zarra nazar aatā hai saudā.ī mujhe
kaash mil jaa.e vahī mahbūb-e-harjā.ī mujhe
khīñch kar ka.abe se aksar but-kade meñ le gayā
but-tarāshī meñ kamāl-e-naqsh-e-ārā.ī mujhe
ho gayā mā.il-ba-kHuddārī mirā zauq-e-niyāz
hashr tak rotā rahe zauq-e-jabīñ-sā.ī mujhe
lauh-e-qismat se miTā lene de tahrīr-e-firāq
ham-nashīñ rahne de masrūf-e-jabīñ-sā.ī mujhe
hoñT tharrāne lage dil kī rageñ khiñchne lagīñ
ai taġhāful kesh terī yaad phir aa.ī mujhe
khīñch le ai jalva-e-jānāñ mirī āñkhoñ kā nuur
phir na jaane kyā dikhā.e sham-e’-bīnā.ī mujhe
jis ka har zarra nazar aata hai saudai mujhe
kash mil jae wahi mahbub-e-harjai mujhe
khinch kar kabe se aksar but-kade mein le gaya
but-tarashi mein kamal-e-naqsh-e-arai mujhe
ho gaya mail-ba-kHuddari mera zauq-e-niyaz
hashr tak rota rahe zauq-e-jabin-sai mujhe
lauh-e-qismat se miTa lene de tahrir-e-firaq
ham-nashin rahne de masruf-e-jabin-sai mujhe
honT tharrane lage dil ki ragen khinchne lagin
ai taghaful kesh teri yaad phir aai mujhe
khinch le ai jalwa-e-jaanan meri aankhon ka nur
phir na jaane kya dikhae sham-e’-binai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.